GAUSE AAZAM BAMANE BE SARO SAMAAÑ MADADE KALAM-E-RAZA MANQABAT-E-GAUS-E-AZAM BY HASAN ROKADIA LYRICS

HASAN ROKADIA
HASAN ROKADIA
1.2 هزار بار بازدید - 6 سال پیش - VideoEditor:-LYRICS:-Gause aazam bamane be saro
VideoEditor:-
LYRICS:-Gause aazam bamane be saro saaman madade
Tu Hai Woh GAUS Ke Har GAUS Hai Shaida Tera,
Tu Hai Woh GAIS Ke Har GAIS Hai Pyaasa Tera,

Jo Wali Qabl The Yaa Baad Hue Yaa Ho'nge,
Sab Adab Rakhte Hain Dil Mein Mere AAQA Tera,

Kis Gulistaan Ko Nahin Fasle Bahaari Se Niyaaz,
Kaun Se Silsile Mein Faiz Na Aaya Tera,

Raaj Kis Shahar Mein Karte Nahin Tere Khuddaam,
Baaj Kis Nahar Se Leta Nahin Darya Tera,

Mazrae-Chisht-o-Bukhaara-o-Iraaq-o-Ajmer,
Kaun Si Kisht Pe Barsa Nahin Jhaala Tera,

Waah kya Martaba Aye Gaus hai Baala Tera,
Oonche Oonchon ke Saron se Qadam Aala Tera.

Sar Bhala kya koi jaane ke hai kaisa Tera,
Auliya malte hain Aankhein wo hai Talwa tera.

Kya dabe jis pe Himaayat ka ho panja tera,
Sher ko Khatre mein laata nahi kutta Tera.

Qasmein de de ke Khilaata hai Pilaata hai Tujhe,
Pyara Allah Tera Chaahne wala Tera.
,
Mustafa ke Taney  Be Saaye ka Saaya Dekha,
Jis ne dekha meri jaan jalwa e Zeba tera,

Ibne Zahra ko mubarak ho uroos e Qudrat,
Qadri paayein tasadduq mere Doolha tera.

Kyun na Qasim ho ke Tu ibne Abil qasim hai,
Kyun na qadir ho ke Mukhtaar hai Baba Tera.

Nabavi zil Alavi burj Batooli manzil,Hasani chand Husaini hai ujala Tera.

Husn e Niyyat ho khata phir kabhi karta hi nahi,
Aazmaya hai yagana hai Dogana Tera.

Jaan to Jaate hi jaayegi Qayamat ye hai,
ke yahaan marne pe thehra hai nazaara Tera.

Tujh se dar,dar se sag,aur sag se hai mujh ko nisbat,
Meri Gardan mein bhi hai door ka Dora Tera.

Is nishaani ke jo sag hain nahi maare jaate,
Hashr tak mere gale mein rahe patta tera.

Bad sahi chor sahi mujrim o naakaara sahi,
Aye wo kaisa hi sahi hai to kareema tera.

Mujh ko Ruswa bhi agar koi kahega to Yunhi,
Ke wahi na woh RAZA Banda e Ruswa Tera.

Hain RAZA yun na bilak tu nahin Jayyid to na ho,
Sayyide Jayyide har dahar hai Maula Tera.

Fakhr e Aaqa mein RAZA aur bhi ek Nazm e Rafee,
Chal Likha laayein Sana Khwaanon mein Chehra Tera..

Dil-e-Aada Ko RAZA Tez Namak Ki Dhun Hai,
Ik Zara Aur Chi'dakta Rahe Khaama, tera


#HasanRokadia
6 سال پیش در تاریخ 1397/10/20 منتشر شده است.
1,200 بـار بازدید شده
... بیشتر