Maikada 3 (Bus Ik Nigah) | Muhammad Samie | Official Video

Muhammad Samie
Muhammad Samie
11.6 هزار بار بازدید - ماه قبل - CREDITS: Singer: Muhammad Samie Composer:
CREDITS: Singer: Muhammad Samie Composer: Muhammad Samie Lyrics’ Selection & Arrangement: Muhammad Samie Poets: Muhammad Samie, Mohsin Naqvi, Kashfi Lucknavi, Allama Iqbal, Abdul Hamid Adam, Bedam Shah Warsi, Josh Malihabadi, Munawwar Badayuni, Mirza Ghalib, Jigar Muradabadi, Hasrat Mohani, Aazam Chishti, Majrooh Sultanpuri Video Director: Muhammad Samie Music Producer: J Ali Music Directors: Muhammad Samie & J Ali Cinematographer: Suleman Shah Post-Production: Suleman Shah Recording, Mixing & Mastering: J Ali Production House: Heaven & Hades Productions A presentation by SHORT SUFI FILMS © 2024 – Short Sufi Spells © 2024 – Short Sufi Films LYRICS: Wo khayal mein hue ru-ba-ru kiya pesh dil to wo keh gaye Wohi dil yahan pe qubool hai jo aseer-e-ishq-e-imam hai (Samie) Ye hai maikada yahan rind hain yahan sab ka saqi imam hai Ye haram nahin hai ai sheikh ji yahan parsaai haram hai (jigar) Tera jaam jaam-e-hayat hai tera zikr zikr-e-dawaam hai Jo samajh gaya tujhe saqiya usay sidq-e-dil se salam hai (Samie) Koi pee ke rah se bhatak gaya koi pee ke raah ko paa gaya Jo sabhi ka zarf ayaan kare ye teri sharab ka kaam hai (Samie) Mera rind-e-nau ko payam hai ke gurez-e-shaikh-e-haram karen Ye haram hai wo haram hai ye to un ka takiya kalam hai (Samie) Na taloon ga saqiya jaam se yahi meri arz-e-tamam hai Main talash-e-raaz mein hun mujhe to teri nigah se kaam hai (Samie) Bus ik nigah .. Bus ik nigah Teri ik nigah ki baat hai, meri zindagi ka sawal hai (Majrooh) Hazar jaam tasadduq hazar maikhane Nigah-e-yaar ki lazzat sharab kya jane Saqi mujhe sharab ki tohmat nahin pasand Mujh ko teri nigah ka ilzam chahiye (Adam) Saqi zara nigaah mila kar to dekhna Kambakht hosh mein to nahi aa gaya hun mein (Adam) Shikan na daal jabeen par sharab dete hue Ye muskurati hui cheez muskura ke pila Suroor cheez ki miqdaar par nahin mauqoof Sharab kam hai to saqi nazar mila ke pila (Adam) Dil se teri nigah jigar tak utar gayi Dono ko ik ada mein raza-mand kar gayi (Ghalib) Jo dil ko de gai ik dard umr-bhar ke liye Tadap raha hun abhi tak main us nazar ke liye Ilaj ki nahin haajat dil-o-jigar ke liye Bus ik nazar teri kafi hai umr bhar ke liye (Munawwar) Khada hun dair se main arz-e-mudda’a ke liye Idhar bhi aik nazar kijiye ḳhuda ke liye Ujad de mere dil ki duniya mere sukoon ko tabah kar de Magar yahi iltija hai tujh se meri taraf ik nigah kar de (Bedam) Arz-o-sama ko saghar-o-paimana kar diya Rindon ne kainat ko maikhana kar diya Qurbaan tere ke ik nigah-e-iltifaat ne Dil ki jhijak ko jurat-e-rindana kar diya (Josh) Nigah hi se mujhe kuch pila ke chhod diya Khudi ke putle ko be-khud bana ke chhod diya Na uth sake ga qayamat talak khuda ki qasam Ke jis ko tu ne nazar se gira ke chhod diya (Azam) Halaak-e-tegh-e-jafa ya shaheed-e-naaz kare Tera karam hai jise jaise sarfaraz kare (Bedam) Nigah-e-yar jise ashna-e-raaz kare Wo apni khoobi-e-qismat pe kyun na naaz kare (Hasrat) Koi ye pooche ke vaaez ka kya bigadta hai Jo be-amal pe bhi rehmat wo be-niyaz kare (Iqbal) Ghuroor-e-zohd ne sikhla diya hai vaaez ko Ke bandagan-e-Khuda par zaban daraz kare (Iqbal) Bitha ke arsh pe rakha hai tu ne ai vaaiz Khuda wo kya hai jo bandon se ehtiraz kare (Iqbal) Khuda ne ilm diya hai to phir nigah bhi maang Mehz ye ilm haqiqat ko bhi majaaz kare (Samie) Gham se ghabra ke qayamat ka talabgaar na ban Itna mayoos-e-karam ai dil-e-beemar na ban Khwahish-e-deed hai to taab-e-nazar paida kar Varna behtar hai yahi taalib-e-deedar na ban Mere saqi ki nigah mujh pe bhi parh jaye gi Na-umeedi tu meri raah ki deevar na ban (Kashfi) Mera darmaan hai na ka’abe mein na but-khane mein Rind hoon mujh ko pada rehne do maikhane mein Mujh ko samjhi hai na samjhegi majaazi duniya Hai haqiqat hi haqiqat mire afsane mein In ke kahne pe isay torh doon kyun-kar aakhir Ilm jin ko nahin kya hai mire paimane mein (Kashfi) Mein chahta hun aaj naya ehtamam ho Yaseen ki sharab ho, tawha ka jaam ho Phoote sahar dilon mein to aankhon mein sham ho Har rind ke labon pe khuda ka kalam ho (Mohsin) Aisi pila jo fikr ki mash’al ujaal de Duniya ki khwahishat ko dil se nikal de (Samie) Saghar utha keh chayi ghata jhoom jhoom kar Aayi hawa najaf ke dareechon ko choom kar Saqi hareem-e-dil mein munawwar nujoom kar Rindon ko waqif-e-dar-e-baab-e-uloom kar Hum ko pila wohi jo wila ki sharab ho Kam-zarf bada-khwar ka khana kharab ho (Mohsin) Wo mai pila ke jis mein Nabuwat ki bu mile Jis ke nashe mein husn-e-Imamat ki khu mile Adam ko jis se khoyi hui aabru mile Mein bhi piyun to mujh ko Khuda ru-ba-ru mile Wo mai ke jis mein subh-e-azal ka surur ho Wo mai ke jis mein Aal-e-Muhammad ka noor ho (Mohsin) Dil to ye hai ke sab ko pilaun magar nahin Har aadmi ke zarf main itna hunar nahi Do chaar jaam se mujhe hoga asar nahi Choda milen zuroof to phir koi dar nahi Wo hosla diya mujhe hubb-e-Imam ne Peeta hun jaam-e-Haideri duniya ke samne Ye hai Bu-Turab ka maikada yahan peene aate hain awliya Yahan saqi Hassan-o-Hussain hain ye faqeer un ka ghulam hai
ماه قبل در تاریخ 1403/05/13 منتشر شده است.
11,620 بـار بازدید شده
... بیشتر