Qisas ul Anbiya - Hazrat Saleh (a) ka Qissa - Story of Prophet Saleh in Urdu - #Saleh - IslamSearch

IslamSearch
IslamSearch
608.4 هزار بار بازدید - 10 سال پیش - Nabi Saleh (Alaihay Salam) Ke
Nabi Saleh (Alaihay Salam) Ke Mojze Ke Tour Par Allah Ta’ala Ki taraf Se Aayi Hui Uthni Ke Qatl Aur Allah Ki Naframni Ke Sabab Nabi Saleh (Alaihay Salam) Ke Nafarman Aur Kafir Qoum Ko Dardnak Azaab..

Aaj Ham Saleh (Alaihay Salam) Ka Ziqr Karege . Allah Ta’ala Ne Qoum Aad Ko Azaab Diya Aur Hood (Alaihay Salam) Aur Unke Saath Jo Log Imaan Laaye The Unhe Bacha Liya . Inhi Ki Aulaad Se Qoum Samood Paida Huyee, Jinhe Aad Saani (Dusri) Bhi Kahaa Jataa Hai. Madeena Shareef Se Tabook Shaher Ke Raaste Me Ek Ilaaqa Padta Hai Jise “Madain Saleh” Kahete Hai, Ye Hi Qoum Samood Ya Aad Saani Ka Ilaaqa Kahaa Jaata,
Ise Al-Hijr Bhi Kaha Jata Hai, Yahaa Hazaaro Ekar (Around Thousand Hectares) Me Faila Huwaa Ye Shaher Sunsaan Aur Khandaro (Ruins) Me Tabdeel Huwa Dekh Kar Ye Andaaza Lagaya Ja Sakta Hai Ki, Uss Waqt In Ki Aabaadi Takreeban Paanch (5) Ya Cheh (6) Laakh Tak Hogi.

*Ye Log Pahaado Ko Taraash Kar Isme Apni Rihaayeesh (Rahne Ki Jagaah) Banaate The, Aur Maidaani Ilaaqo Me Aalishaan Mahal Ya Imaarate (Building) Banaya Karte The. Ye Log Bhi Boot Parashti (Murti Pooja) Me Giraftaar The. Aur Apne Kuffar Me Hadd Se Jiyaada Aage Bade Huve The.

*Allah Ta’ala Ne Inki Islaah Ke Liye Inke Beech Hazrat Saaleh (Alaihay Salam) Ko Bheja. Inhone Apni Qoum Me Haq Ki Daawat Dena Shuru Ki, Lekin Kuch Logo Ko Chhodkar Un Par Bhi Koi Imaan Na Laaya. Har Nabi Apni Hi Qoum Se Mabwoos (Paida) Kiya Jaata Hai, Taaki Log Uss Ke Baare Me Bachpan Se Lekar Jawaani Aur Budhaape Tak Ke Unke Kirdaar Ko Jaane. Har Nabi Ya Rasool Ya Paigamber Ki Ye Khaasiyat Hoti Hai Ki Woh Shuru Se Hi Sachca, Imaandaar, Nek, Paak, Amaanatdaar Hota Hai, Unki Qoum Ke Log Bhi Unhe Sachcha, Imaandaar Aur Nek Maante Hai, Lekin Jab Woh Hi Nabi Apne Nabi Ya Apni Naboowat Ka Ailaan Karta Hai To Yahi Log Jo Unhe Sachcha Aur Imaandaar Maante Hai Woh Uss Nabi Ko Jhutla Dete Hai, Uska Mazaaq Udaate Hai. Aur Us Ki Naboowat Ka Inqaar Karte Hai.

*Hazrat Saaleh (Alaihay Salam) Ne Apni Qoum Se Kahaa – Aye Meri Qoum ! Sirf Ek Akele Allah Ta’ala Ki Ibaadat Karo, Uske Siwaa Koi Ibaadat Ke Laayeq Nahi Hai, Aur Wo Waqt Yaad Karo Jab Qoum Aad Ke Baad Allah Ta’ala Ne Tumhe Is Zameen Ka Waarish Banaaya, Aur Is Ilaaqe Me Tumhe Aabaad Kiya, Tumhe Quwat Bakhshi Ke Tum Maidaani Ilaaqo Me Mahal Banaate Ho, Aur Pahaado Ko Taraash Kar Ghar Bana Lete Ho, Isiliiye Tum Allah Ta’ala Ke Ahsanaat Ko Yaad Karo Aur Zameen Me Fasaad Na Failaate Firo”

*Unki Qoum Ke Ghamandi Ameer Sardaaro Ne Unn Kamzor Aur Gareeb Logo Ko Jo Hazrat Saaleh (Alaihay Salam) Par Imaan La Chuke The Kahaa, “Kya Tum Yaqinan Jaante Ho Ki Hazrat Saaleh (Alaihay Salam) Apne Rab Ki Taraf Se Bheje Huve Rasool Hai?.”

*Un Kamzor Aur Gareeb Logo Ne Kahaa, “Haan Ham Hazrat Saaleh (Alaihay Salam) Par Bhi Imaan Laaye Aur Jo Kuch Inhe Dekar Bheja Gayaa Hai Uss Par Bhi”.

*Is Par Unn Ameer Ghamandi Sardaaro Ne Kahaa, “Jis Baat Par Tum Log Imaan Laaye Ho, Ham To Use Man’ne Wale Nahi”.

*Lekin Jab Saaleh (Alaihay Salam) Unhe Baar Baar Haq Ki Daawat Dete Rahe To Unki Qoum Ke Sardaaro Ne Kahaa, “Ham Tujhe Jhutha Samajhte Hai, Agar Tu Sahi Me Apne Rab Ka Bheja Huwaa Rasool Hai To Apne Rab Ke Paas Se Koi Moazza (Nishaani) Le Kar Aa. Nahi To Ham Tujh Par Aur Teri Baato Par Imaan Nahi Laane Wale”.

Dosto Har Rasool Se Unki Qoum Ke Kaafir Sardaar Kisi Na Kisi Mouazze (Rab Ki Nishaani) Ki Maang Karte Hi Rahe Hai. Lekin Jab Uss Qoum Me Bheje Gaye Rasool Ki Duwaa Se Allah Ta’ala Koi Nishani Bhej Deta To Nishaani Dekh Lene Ke Baad Bhi Woh Log Imaan Na Laate Aur Apne Kufar Pe Qaayem Rahte. Lekin Allah Ta’ala Ki Sunnat (Tarika) Ye Hai Ki Pahele To Woh Apne Bando Ko Apne Nabi Aur Rasool Ke Zariye Samjhata Hai, Aur Fir Kaafiro Ke Mataalbe (Maang) Ke Mutaabiq Apni Nishaaniya Bhi Zaahir Karta Hai Aur Uss Nishaani Ko Dekh Lene Ke Baad Bhi Agar Kaafir Imaan Na Laaye To Unhe Bada Sakhat Azaab Deta Hai .

Hazrat Saleh Description of the People of Thamud - Hazrat Saleh Description of Salih - Hazrat Saleh  People Demand a Miracle - Hazrat Saleh Stories About the She-Camel - Hazrat Saleh The Disbelievers' Hatred for Salih - Hazrat Saleh The Disbelievers' Plot to Kill the She-Camel - Hazrat Saleh Salih Warns of a Punishment - Hazrat Saleh The Disbelievers Plot Against Salih - Hazrat Saleh The Punishment - Hazrat Saleh Salih's Story - Condensed Quranic Version - Hazrat Saleh Hadith About the People of Thamud

#QuranicStories #QuraniQissa #IslamicStory #IslamiKahani #QuranicStory #IslamiWaqia #IslamicKahaniyan #MuslimKahani #ProphetStory #UrduIslamicKahani #IslamicStoriesinUrdu #QisasulAnbiya #AnbiyakiKahani #AnbiyakaQissa #AmbiyaKahani #AmbiyaQissa #QuranQissa #QuranStory #HazratSalehStory #hazratSaleh #SalehWaqia #SalehQissa, #QissaHazratSaleh #StoryProphetSaleh #StoryIslam #IslamStory #HazratSalehStory #HazratSalehWaqia #HazratSalehQissa #QissaIslam #QisasulAmbiya #AmbiyakaQissa #HazratSaleh #ProphetSaleh #ProphetSalehStory #StoryProphetSaleh #HazratSalehQissa #HazratSalehWaqia #HazratSalehStory #SalehStory #Prophet
10 سال پیش در تاریخ 1393/04/09 منتشر شده است.
608,470 بـار بازدید شده
... بیشتر