Hazrat Sulaiman (a) ka Qissa - Story of Prophet Sulaiman in Urdu - Qisas ul Anbiya - IslamSearch

IslamSearch
IslamSearch
1.8 میلیون بار بازدید - 10 سال پیش - Hazrat Prophet Sulaiman Knowledge -
Hazrat Prophet Sulaiman Knowledge - Hazrat Prophet Sulaiman Becomes King - Hazrat Prophet Sulaiman Admiration of Horses - Hazrat Prophet Sulaiman Allahs Gifts to Solomon - Quranic
Hazrat Prophet Sulaiman Hears the Ants Warning - Hazrat Prophet Sulaiman Hears the Coversation of Ants - Quranic Hazrat Prophet Sulaiman Travels - Hazrat Prophet Sulaiman The Hoopoe Brings Information to Solomon - Hazrat Prophet Sulaiman The Queen of Sheba Sends Gifts
Hazrat Prophet Sulaiman Rejects the Queen Gifts - Hazrat Prophet Sulaiman The Queen Decides to Visit Solomon - Hazrat Prophet Sulaiman The Queens Visit with Solomon - Hazrat Prophet Sulaiman is Informed About the Queen of Sheba - Quranic Hazrat Prophet Sulaiman The Queen Sends Gifts - Quranic - Hazrat Prophet Sulaiman The Queen Visits Solomon - Hazrat Prophet Sulaiman Jinns and Solomon - Hazrat Prophet Sulaiman Death



Hazrat Sulaimaan (Alaihay Salam) Aur Unka Mozza-e-Mubarak: Hawaa, Jinnaat-o-Shayateen, Parind Charind Par Hukumat

Jab Se Takhliqe Qaayenaat Amal Me Aayee Hai Aur Insaan Ko Iss Duniya Me Utaara Gayaa Hai, Tab Se Insaaniyat Islaahi Madaariz Taye Karte Huve Meraaj-e-Insaaniyat Ki Taraf Gaamzan Toh Hai Magar Hazrat Sulaimaan (Alaihay Salam) Ko Hazrat Dawood (Alaihay Salam) Ki Tarhaa Baadshahat Ke Saath-Saath Naboowat Bhi Ata Huyee Aur Jinn-Jinnaat, Insan, Charind Parind Hazrat Sulaimaan (Alaihay Salam) Ke Taabey Huve Aur Aisa Azeem-O-Aalishaan Darbaar Unhe Naseeb Huwaa Ki Kisi Aur Ke Hisse Me Na Aaya, Ki Jahaa Allah Taala Ki Har Makhlooq Haath Baandhe Adab Se Khadi Hai
Subhan Allah ….

Allah Taala Ne Hazrat Dawood (Alaihay Salam) Ko Naboowat Aur Huqumat Ata Ki Aur Unhe Hadeed (Lohaa, Iron) Ki Masniat Ke Ilm Ke Saath-Saath Parindo Aur Pahado Ko Un Ke Matee (Taabey) Kar Diya. Aur Hazrat Sulaimaan (Alaihay Salam) Jo Ki Unke Farzand (Bete, Son) The, Unhe Unka Waris Banaya Aur Hazrat Sulaimaan (Alaihay Salam) Ko Bhi Naboowat Aur Huqumat Ata Ki. Aur Unhe Taamba (Copper) Ki Masniat Ka Ilm Sikhaya. Eik Riwaayat Me Hai Ki Allah Taala Ne Hazrat Sulaimaan (Alaihay Salam) Ke Liye Pighle Huve (Melt) Taambe (Copper) Ka Dariya Bahaa Diya. Ya Unhe Taambe Ko Pighlaa Kar Uss Se Mujassame Banaane, Bartan Banaane Aur Badi-Badi Deyge Banane (Khana Banane Ka Bahut Bada Bartan) Banane Aur Bhi Dusri Cheeze Banaane Ka Ilm Diya Tha.

Hazrat Sulaimaan (Alaihay Salam), Allah Taala Ke Aise Waheed Nabi The Jinhe Allah Taala Ne Un Ke Kitna Bhi Kharach Karne Par Hisaab Kitaab Se Chhuth Di Huyee Thi Yaani Ki Woh Kitna Bhi Kharch Kare Unse Koi Hisaab Kitaab Na Liya Jayega. Lekin Fir Bhi Hazrat Sulaimaan (Alaihay Salam) Apne Haatho Se Banaayee Huyee Taambey (Copper) Ki Cheezo Ko Bechkar Apna Guzar-Basar Kiya Karte The. Allah Subhanahu Taala Ne Unke Taabey (Under) Hawaa (Air) Ko Kar Diya Jo Unke Huqum Se Chalti Thi.

• Jinnaat-o-Shayateen Aur Hawaa Par Huqumat :
Azeez Dosto Hawaa Par Tabey Paane Ki Ek Riwayat Me Hai Ke, Aap Hazrat Sulaimaan (Alaihay Salam) Ki Huqumat Ke Daur Me Jinnaato Aur Shayaateen Ke Fitno Ka Zahoor Huwa. Aap Ki Daar–Ul–Huqumat Jerusalam (Bait-Ul-Muqaddas) Thi. Aap Hazrat Sulaimaan (Alaihay Salam) Ke Dour-e-Hukumat Me Allah Taala Ne Jinnato Aur Shayatin Ke Liye Iss Duniya Ke Darwaze Khol Diye They.
Aur Sulaimaan (Alaihay Salam) Ko Iss Baat Ki Basharat Ki Ke Unki Hukumat Me Unkareeb Jinnaat Aur Shayateen Ka Nuzool Hoga,, Yeh Unki Doar Ka Sabse Bada Fitna Raha.. Aur Jab Unhone Iss Muamlat Ke Peshgoyi Ke Liye Apne Mulk Ke Dur Daraz Shaharo Ke Alimo Wa Yaudi Ulamao Se Guftgu Karna Chaha Toh Unn Yahudi Alimo Ne Unki Baato Ka Mazaak Udate Hue Unhe Aur Unki Naboowat Ko Bhi Zuthla Diya,,
• Baitul Muqaddas Ki Taamir: Jinnaat Unke Liye Bhaari-Bhaari Kaam Jaise Badi-Badi Imaarate (Buildings) Banaana Aur Samundar Me Gotaa Lagaa Kar Heere-Jawaheraat Nikaal Laane Ka Bhi Kaam Ko Anjaam Diya Karte They.
• Insaaf Me Bhi Kamil Tareen Shakhsiyat :
Eik Dafaa (Waqt) Ka Waqeya Hai Hazrat Dawood (Alaihay Salam) Ke Darbaar Me Eik Muqadmaa Aaya, Uss Waqt Hazrat Sulaimaan (Alaihay Salam) Bhi Wahaa Moujood The. Muqadmaa Ye Tha Ki Eik Kisaan (Farmer) Ke Khet Me Raat Ke Waqt Kisi Charwaahe Ki Bakriya (Goat) Uss Charwaahe Ki La Ilmi Me Ghuss Gayee Aur Un Bakriyo Ne Uss Kisaan Ke Khet Ko Barbaad Kar Daala. Jab Ye Muqadmaa Hazrat Dawood (Alaihay Salam) Ki Adaalat Me Pahoocha Toh Saari Baate Tafseel Se Sunne Ke Baad Hazrat Dawood (Alaihay Salam) Ne Ye Faislaa Sunayaa Ki Kisaan Ki Kheti Barbaad Karne Ke Badle Me Charwaahe Ki Saari Bakriya Kisaan Ko De Di Jaaye.
#QuranicStories #QuraniQissa #IslamicStory #IslamiKahani #QuranicStory #IslamiWaqia #IslamicKahaniyan #MuslimKahani #ProphetStory #UrduIslamicKahani #IslamicStoriesinUrdu #QisasulAnbiya #AnbiyakiKahani #AnbiyakaQissa #AmbiyaKahani #AmbiyaQissa #QuranQissa #QuranStory #HazratSulaimanStory #hazratSulaiman #SulaimanWaqia #SulaimanQissa, #QissaHazratSulaiman #StoryProphetSulaiman #StoryIslam #IslamStory #HazratSulaimanStory #HazratSulaimanWaqia #HazratSulaimanQissa #QissaIslam #QisasulAmbiya #AmbiyakaQissa #StoryProphetSulaiman #HazratIbrahimQissa
10 سال پیش در تاریخ 1393/04/09 منتشر شده است.
1,845,652 بـار بازدید شده
... بیشتر