Story of Prophet Idrees's life (urdu) - Story of Hazrat Idrees - Qisas ul Anbiya - IslamSearch

IslamSearch
IslamSearch
348.9 هزار بار بازدید - 10 سال پیش - Hazrat Aadam (Alaihay Salam) Ke
Hazrat Aadam (Alaihay Salam) Ke Baad Duniyavi Kaam Kaaz Ki Bag–Dour Hazrat Seesh (Alaihay Salam) Ne Sambhali.

• Allah Taala Ne Hazrat Idrees (Alaihay Salam) Ko Hazrat Seesh (Alaihay Salam) Ke Baad Naboowat Se Nawaza.

♥ Nabi Idrees (Alaihay Salam):
Hazrat Seesh (Alaihay Salam) Ki Chauthi (4th) Ya Paachvi (5th) Pust (Nasal) Me Hazrat Khanookh (Alaihay Salam) Paida Huve, Jo Ki Hazrat Idrees (Alaihay Salam) Ke Naam Se Mashhoor Huve. Allah Taala Ne Hazrat Seesh (Alaihay Salam) Ke Baad Hazrat Idrees (Alaihay Salam) Ko Naboowat Se Nawaaza .

• Ek Riwaayat Me Hai Ki Hazrat Idrees (Alaihay Salam) Hi Hazrat Iliyaas (Alaihay Salam) Hai. (Allah-o-Aalam)

♥ Allah Taala Quraan-e-Kareem Me Irshaad Farmata Hai –
Aur Kitaab (Quraan) Me Idrees (Alaihay Salam) Ko Yaad Karo, Beshaq Woh Siddique (Sachcha) Tha Aur Gaib Ki Khabre Detaa, Aur Hum Ne Usey Buland Muqaam Par Uthaa Liya.” – (Mafhoom-e-Surah – Mariam)

Iss Aayat Me Allah Taala Ne Hazrat Idrees (Alaihay Salam) Ki Taarif Farmaayee Hai. Aur Unki Naboowat Aur Sadaaqat (Sachchayee) Ko Zaahir Farmaaya Hai.
Hamaare Pyaare Aaqa Hazrat Muhammed (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka Silsila–e–Nasab Hazrat Idrees (Alaihay Salam) Se Hote Huve Hazrat Seesh (Alaihay Salam) Tak Ja Milta Hai.

Aziz Dosto ,…… Riwaayato Me Hai Ki Hazrat Idrees (Alaihay Salam) Hi Woh Pahele Sakhs (Aadmi) Hai Jinhone Likne (Writing) Ka Tarika Izaad Kiya. Aap Hazrat Idrees (Alaihay Salam) Ret (Sand, Ramal) Par Likha Karte The. Aur Ret Par Likhaawat Ke Zariye Aap Guftgoo (Baate) Kiya Karte The. Isiliye Aap Hazrat Idrees (Alaihay Salam) Ko Iss Ilm Ka Sab Se Badaa Maahir Kahaa Jaata Hai.

Jab Hamare Pyaare Aaqa Hazrat Mohammed Mustafa (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Ilm Ramal (Ret, Sand Par Likhne Wale) Ke Baare Me Poocha Gaya Toh Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya, “Ek Nabi Ret (Sand, Ramal) Par Khatt (Lines) Khincha Karte The (Yaani Ki Likha Karte The), Isliye Agar Kisi Sakhsh (Aadmi) Ki Khatt (Likhaawat) Unn Nabi Ki Khatt (Likhaawat) Ke Muwaafiq Ho Ya Un Ke Likhaawat Jaisi Ho Toh Uss Shakhs Ko Bahut Si Ya Dusri Chipi Huyee Baato Ka Ilm Ho Jaata Hai”.

• Aap Huzur-e-Akram Mohammed Mustafa (Sallallahu Alaihay Wasallam) Jab Meraaj Par Gaye Toh Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Hazrat Idrees (Alaihay Salam) Se Chauthe (4th) Aasmaan Par Mulaaqat Ki Thi .

* Hazrat Idrees (Alaihay Salam) Ke Mutaaliq Allah Taala Quraan Majeed Me Irshaad Farmata Hai, “WARAA FA – ANAH MAKAAN AALIYA,..”
Iss Aayat Se Muraad Hazrat Idrees (Alaihay Salam) Ke Muqaam Aur Martabe Ki Bulandi Hai, Ya Fir Allah Taala Ne Aap Hazrat Idrees (Alaihay Salam) Ko Buland (Uncha) Muqaam Ataa Kiya Ya Aap Ko Unche Muqaam Par Uthha Liya.

Aur Eik Riwaayat Me Hai Ki Allah Taala Ne Aap Hazrat Idrees (Alaihay Salam) Ki Taraf Wahee Farmaaye, “Ki Main Tumhe Har Roz (Daily) Bani Aadam Ke Nek Aur Achche Amal (Kaam) Ke Mutaabiq Buland Karooga”.

#QuranicStories #QuraniQissa #IslamicStory #IslamiKahani #QuranicStory #IslamiWaqia #IslamicKahaniyan #MuslimKahani #ProphetStory #UrduIslamicKahani #IslamicStoriesinUrdu #QisasulAnbiya #AnbiyakiKahani #AnbiyakaQissa #AmbiyaKahani #AmbiyaQissa #QuranQissa #QuranStory
10 سال پیش در تاریخ 1393/04/09 منتشر شده است.
348,943 بـار بازدید شده
... بیشتر