Story of Prophet Musa in Urdu - Quranic Stories (Urdu) - #HazratMusa - IslamSearch

IslamSearch
IslamSearch
2 میلیون بار بازدید - 10 سال پیش - Hazrate Yaqoob (Alaihay Salam) Ke
Hazrate Yaqoob (Alaihay Salam) Ke Baraah (12) Beto me Se Yahood Naam Ke Bete Se Yahudiyon (Bani Israayeel) Ka Silisla Shuru Hua.

Aziz Dosto ,…. Aaj Ham Hazrat Musa (Alaihay Salam) Aur Hazrat Haroon (Alaihay Salam) Ka Ziqr Karege . Dosto Hazrat Musa (Alaihay Salam) Mishar (Egypt ) Me Paida Huve . Hazrat Musa (Alaihay Salam) Aise Akele Nabi Hai Jinka Ziqr Qur’an Majeed Me Sab Se Jiyaada Huwa Hai . Aur Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ke Kisse (Waqyaat) Bhi Bahut Hai . Inhe Allah Ta’ala Se Hamkalaami (Baate Karne) Ka Sharaf Bhi Haasil Hai. Isiliye Inhe Kaleem Ulaah Ke Laqab Se Bhi Jaana Jaate Hai .

Yahoodi Inhe Allah Ka Darza Dete Hai (Nauzbillah) Aur Hazrat Uzair (Alaihay Salam) Ko Allah Ka Beta Kahete Hai (Nauzbillah) Jab Ki Hazrat Musa (Alaihay Salam) Aur Hazrat Uzair (Alaihay Salam) Sab Allah Wahdahu La Shariqalahu Ke Bande Aur Rasool The Aur Allah Ta’ala Ki Iabaadat Karte The. Yahoodiyo Ko Qur’an Majeed Me Bani Israayeel (Israayeel Ki Aulaad) Ke Naam Se Bhi Pukaara Gayaa Hai. Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) Ke Bete Hazrat Ishaq (Alaihay Salam) Aur Unke Bete Yaqoob (Alaihay Salam) Ka Ek Naam Israayeel Bhi Tha, Jis Ka Matlab Hai Allah Ta’ala Ka Banda Ya Farmaabardar. Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Ke Baraah (12) Bete The Jo Ki Baraah (12) Qabile Me Bat Gaye The.

*Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Ek Bete Ka Naam Yahood Tha, Yahoodi Usi Qabile Ki Aulaad Hone Ki Wajaah Se Yahood Ya Bani Israayeel Kahelaaye. Yahood Lafz Hawadatun Lafz Se Bana Hai, Jiska Matlab Mohabbat Hota Hai Ya Tahawwood Se Bana Hai Jiska Matlab Toubaa Karne Walaa Hota Hai, Isiliye Shuruwaat Me Inka Ye Naam Asal Me Touba Karne Ya Ek Dusre Se Mohabbat Rakhne Ki Wajaaz Se Padaa.

*Ummat-e-Mohammadi (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Pehele Ye Ummat Sab Se Afzal Ummmat Thi, Allah Ta’ala Ne Bani Israyeel Par Bahut Ahesanaat Kiye Jin Ka Ziqr Qur’an Majeed Me Jagaah-Jagaah Par Kiya Gaya Hai. Aur Sab Se Jiyaada Paigambar (Alaihay Salam) Isi Ummat Ki Rahenumaaye Aur Bhalaayee Ke Liye Mabwoos Huve Ya Bheje Gaye.


*Allah Ta’ala Ne Bani Israyeel Par Bahut Se Inaamaat Bhi Kiye Aur Har Tarhaa Se Is Ummat Ko Nawaaza. Lekin Ye Ummat Badbakhat Ho Gayee. Aasmaani Kitaabo Ya Shahifo, Jaise Tauret Aur Zaboor Jo Inki Raahenumaayee Ke Liye Naazil Ki Gayee Thi, Uss Me Apne Faayede Ke Liye Fer-Badal Karne Lage Aur Raahe Raast Se Bhatak Kar Gumraah Aur Zalil Ho Gaye. Ye Qoum Itni Badbakhat Thi Ki Allah Ta’ala In Ki Islaah Ke Liye Jo Nabi Ya Rasool (Alaihay Salam) Bhejte Ye Unhe Qatal Kar Daalte, Yahaa Tak Ki Ek Din Me Kayee-Kayee Nabiyo (Alaihay Salam) Ko Qatal Kar Diya. Inke Beech Jo Bhi Rasool Ya Nabi Aata Ye Uski Baat Nahi Maante The. Aur Na Us Par Imaan Laate. Aur Apne Bad Bakhti Aur Bure Amal Me Hadd Se Aage Badh Gaye. Qur’an Majeed Me Sab Se Jiyada Inhi Ko Mutawazze Kar Ke Baate Ki Gayee Hai, Kyonki Ye Sab Log Madina Shareef Ke Aitaraaf Me Base Huve The.
• Firoun Ki Badshahat Ko Khatm Kar Dene Wale Nabi Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ki Wiladat
Hazrate Musa (Alaihay Salam) Aur Haroon (Alaihay Salam) Ki Parwarish Ka Jimma Firoun Ke Hi Shahi Khajane Se.
Ek Din Hazrat Musa (Alaihay Salam) Shaam Ke Waqt Baazaar Me Gaye.
• Hazrate Musa (Alaihay Salam) Ki Mulaqat Shoieb (Alaihay Salam) Ke Sath, 8 Saal ke Safar ke Baad.
• Allah Ta’ala Ka Hazrat Musa (Alaihay Salam) Se Pehla Kalam. # Musa Alahi Salam Se Allah ne Qalam Kiya:
• Hazrate Musa (Alaihay Salam) Se Firoun Ko Haq Par Imaan Laane Ki Daawat.
• Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ka Jadugaro Se Muqabla.
• Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ki Qoum Ke Liye Paani ke Darmiyan Allah Ne Rasta Nikala Aur Firoun Ke Murda Jism Ko Aaj Tak Ki Naslo (Qoumo) Ke Liye Ibrat Ka Nishaan Banaya
• Nafrman Aur Buzdil Qoum Bani Israyil Ko Khule Aasmaan Ke Niche 40 Saal Tak Zindagi Basar Karne Ki Saza
• Allah Ta’ala Ke Deedar Ke Bina Allah Ta’ala Aur Hazrat Musa (Alaihay Salam) Par Imaan Laane Se Bani Israayeel Ne Inkar Kar Diya, Unki Isi Jidd Ke Sabab Allah Rabbul Aalmin Ne Aasmaan Se Kehar Naazil Kiya Aur Unhe (Bani Israayeel Ko) Halaq Kar Ke Firse Zinda Kar Diya. !!!
• Allah Ta’ala Ne Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ko 30 Dino (Days) Ke Liye Kohe Toor (Toor Ki Pahaadi) Par Bulaaya Aur Isi Douran Unki Qoam Ke Kuch Logon ne Gaay Ke Bachde Ka Mujassama Bana Kar Uski Ibadat Karne Lage, Is Kufr Par Musa (Alaihay Salam) NE Samri ko badduwa De Di. !!!
• Khizar (Alaihay Salam) Ke Jarye Musa (Alahi Salam) Aazmaish


#QuranicStories #QuraniQissa #IslamicStory #IslamiKahani #QuranicStory #IslamiWaqia #IslamicKahaniyan #MuslimKahani #ProphetStory #UrduIslamicKahani #IslamicStoriesinUrdu #QisasulAnbiya #AnbiyakiKahani #AnbiyakaQissa #AmbiyaKahani #AmbiyaQissa #QuranQissa #QuranStory #HazratMusaStory #hazratMusa #MusaWaqia #MusaQissa, #QissaHazratMusa #StoryProphetMusa #StoryIslam #IslamStory #HazratMusaStory #HazratMusaWaqia #HazratMusaQissa #QissaIslam #QisasulAmbiya #AmbiyakaQissa #HazratMusa #ProphetMusa #ProphetMusaStory #StoryProphetMusa #HazratMusaQissa #HazratMusaWaqia #HazratMusaStory #MusaStory #Prophet
10 سال پیش در تاریخ 1393/04/09 منتشر شده است.
2,041,910 بـار بازدید شده
... بیشتر