Achi Surat Pe Ghazab Toot Ke Aana Dil Ka - DAAGH DEHLVI

Lehja
Lehja
13.9 هزار بار بازدید - پارسال - Urdu Poetry by Daagh Dehlvi
Urdu Poetry by Daagh Dehlvi Ghazal: Achi Surat Pe Ghazab Toot Ke Aana Dil Ka Recitation: Raheel Farooq اچھی صورت پہ غضب ٹوٹ کے آنا دل کا نواب مرزا خاں داغؔ دہلوی کی خوبصورت غزل - کلاسیکی اردو شاعری _____ DAGH DEHLVI Nawab Mirza Khan Daagh Dehlvi, a renowned poet of the 19th century, captivated hearts with his soul-stirring Urdu ghazals. Born on the 25th of May, 1831, in the historic city of Delhi, he emerged as a prominent figure in the old Delhi school of Urdu poetry. Daagh Dehlvi, a pen name that resonates with multiple meanings, including stain, grief, and taint, symbolized his profound connection to his birthplace. With an unwavering focus on the purity of the Urdu language, Daagh Dehlvi crafted romantic and sensuous verses that minimized the use of Persian words, placing great importance on the idiom and essence of Urdu itself. His talent garnered recognition, and he was honored with numerous titles by the sixth Nizam of Hyderabad, Mir Mahbub Ali Khan. Daagh Dehlvi's literary prowess, celebrated for its simplicity and wide appeal, earned him the reputation of being one of the finest romantic poets of his era. Beyond his literary contributions, he led a remarkable life, shaped by royal affiliations, personal triumphs, and encounters with hardship. Today, his poetic legacy continues to enchant audiences, with his verses being immortalized through the melodious renditions of renowned ghazal singers. --------- SUBSCRIBE: WEBSITE: https://urdugah.com/lehja SUPPORT: https://www.patreon.com/Urdu --------- URDU SHOP Buy from the first and only Urdu storefront on Amazon. Discover books, music, movies & shows, antiques, clothing, accessories, supplies and more - all curated for you by Lehja! https://www.amazon.com/shop/urdu As an Amazon Associate, we earn from qualifying purchases. --------- POETRY TEXT: غزل کا مکمل اردو متن: اچھی صورت پہ غضب ٹوٹ کے آنا دل کا یاد آتا ہے ہمیں ہائے زمانہ دل کا تم بھی منہ چوم لو بے ساختہ پیار آ جائے میں سناؤں جو کبھی دل سے فسانہ دل کا نگہِ یار نے کی خانہ خرابی ایسی نہ ٹھکانا ہے جگر کا نہ ٹھکانا دل کا پوری مہندی بھی لگانی نہیں آتی اب تک کیوں کر آیا تجھے غیروں سے لگانا دل کا غنچۂ گل کو وہ مٹھی میں لیے آتے تھے میں نے پوچھا تو کیا مجھ سے بہانہ دل کا ان حسینوں کا لڑکپن ہی رہے یا اللہ ہوش آتا ہے تو آتا ہے ستانا دل کا دے خدا اور جگہ سینہ و پہلو کے سوا کہ برے وقت میں ہو جائے ٹھکانا دل کا میری آغوش سے کیا ہی وہ تڑپ کر نکلے ان کا جانا تھا الٰہی کہ یہ جانا دل کا نگہِ شرم کو بے تاب کیا کام کیا رنگ لایا تری آنکھوں میں سمانا دل کا انگلیاں تارِ گریباں میں الجھ جاتی ہیں سخت دشوار ہے ہاتھوں سے دبانا دل کا حور کی شکل ہو تم نور کے پتلے ہو تم اور اس پر تمھیں آتا ہے جلانا دل کا چھوڑ کر اس کو تری بزم سے کیوں کر جاؤں اک جنازے کا اٹھانا ہے اٹھانا دل کا بے دلی کا جو کہا حال تو فرماتے ہیں کر لیا تو نے کہیں اور ٹھکانا دل کا بعد مدت کے یہ اے داغؔ سمجھ میں آیا وہی دانا ہے کہا جس نے نہ مانا دل کا Complete Ghazal in Roman Text (Credits: Rekhta): achchhī sūrat pe ġhazab TuuT ke aanā dil kā yaad aatā hai hameñ haa.e zamānā dil kā tum bhī muñh chuum lo be-sāḳhta pyaar aa jaa.e maiñ sunā.ūñ jo kabhī dil se fasānā dil kā nigah-e-yār ne kī ḳhāna-ḳharābī aisī na Thikānā hai jigar kā na Thikānā dil kā puurī mehñdī bhī lagānī nahīñ aatī ab tak kyūñkar aayā tujhe ġhairoñ se lagānā dil kā ġhuncha-e-gul ko vo muTThī meñ liye aate the maiñ ne pūchhā to kiyā mujh se bahānā dil kā in hasīnoñ kā laḌakpan hī rahe yā allāh hosh aatā hai to aatā hai satānā dil kā de ḳhudā aur jagah siina o pahlū ke sivā ki bure vaqt meñ ho jaa.e Thikānā dil kā merī āġhosh se kyā hī vo taḌap kar nikle un kā jaanā thā ilāhī ki ye jaanā dil kā nigah-e-sharm ko be-tāb kiyā kaam kiyā rañg laayā tirī āñkhoñ meñ samānā dil kā uñgliyāñ tār-e-garebāñ meñ ulajh jaatī haiñ saḳht dushvār hai hāthoñ se dabānā dil kā huur kī shakl ho tum nuur ke putle ho tum aur is par tumheñ aatā hai jalānā dil kā chhoḌ kar us ko tirī bazm se kyūñkar jā.ūñ ik janāze kā uThānā hai uThānā dil kā be-dilī kā jo kahā haal to farmāte haiñ kar liyā tū ne kahīñ aur Thikānā dil kā ba.ad muddat ke ye ai 'dāġh' samajh meñ aayā vahī daanā hai kahā jis ne na maanā dil kā #Urdu #Poetry #Literature
پارسال در تاریخ 1402/03/27 منتشر شده است.
13,976 بـار بازدید شده
... بیشتر