Beautiful Urdu Ghazal | nazar jhuka.e urus-e-fitrat | Dil Ki Duniya | New Kalam 2024

Dil Ki Dunya
Dil Ki Dunya
61.3 هزار بار بازدید - پارسال - Artist : Anwar MuaviaPoet: Josh
Artist : Anwar Muavia
Poet: Josh Maleeh Abadi
Mastering : TSD Records
Production : Dil Ki Dunya

Lyrics :
nazar jhukā.e urūs-e-fitrat jabīñ se zulfeñ haTā rahī hai

sahar kā taarā hai zalzale meñ ufuq kī lau thartharā rahī hai

ravish ravish naġhma-e-tarab hai chaman chaman jashn-e-rañg-o-bū hai

tuyūr shāḳhoñ pe haiñ ġhazal-ḳhvāñ kalī kalī gungunā rahī hai

sitāra-e-sub.h kī rasīlī jhapaktī āñkhoñ meñ haiñ fasāne

nigār-e-mahtāb kī nashīlī nigāh jaadū jagā rahī hai

tuyūr bazm-e-sahar ke mutrib lachaktī shāḳhoñ pe gā rahe haiñ

nasīm firdaus kī sahelī guloñ ko jhūlā jhulā rahī hai

kalī pe bele kī kis adā se paḌā hai shabnam kā ek motī

nahīñ ye hiire kī kiil pahne koī parī muskurā rahī hai

sahar ko madd-e-nazar haiñ kitnī ri.āyteñ chashm-e-ḳhūñ-fishāñ kī

havā bayābāñ se aane vaalī lahū meñ surḳhī baḌhā rahī hai

shalūkā pahne hue gulābī har ik subuk pañkhuḌī chaman meñ

rañgī huī surḳh oḌhnī kā havā meñ pallū sukhā rahī hai

falak pe is tarah chhup rahe haiñ hilāl ke gird-o-pesh taare

ki jaise koī na.ī navelī jabīñ se afshāñ chhuḌā rahī hai

khaTak ye kyuuñ dil meñ ho chalī phir chaTaktī kaliyo? zarā Thaharnā

havā-e-gulshan kī narm ro meñ ye kisī kī āvāz aa rahī hai?

نظر جھکائے عروس فطرت جبیں سے زلفیں ہٹا رہی ہے

سحر کا تارا ہے زلزلے میں افق کی لو تھرتھرا رہی ہے

روش روش نغمۂ طرب ہے چمن چمن جشن رنگ و بو ہے

طیور شاخوں پہ ہیں غزل خواں کلی کلی گنگنا رہی ہے

ستارۂ صبح کی رسیلی جھپکتی آنکھوں میں ہیں فسانے

نگار مہتاب کی نشیلی نگاہ جادو جگا رہی ہے

طیور بزم سحر کے مطرب لچکتی شاخوں پہ گا رہے ہیں

نسیم فردوس کی سہیلی گلوں کو جھولا جھلا رہی ہے

کلی پہ بیلے کی کس ادا سے پڑا ہے شبنم کا ایک موتی

نہیں یہ ہیرے کی کیل پہنے کوئی پری مسکرا رہی ہے

سحر کو مد نظر ہیں کتنی رعایتیں چشم خوں فشاں کی

ہوا بیاباں سے آنے والی لہو میں سرخی بڑھا رہی ہے

شلوکا پہنے ہوئے گلابی ہر اک سبک پنکھڑی چمن میں

رنگی ہوئی سرخ اوڑھنی کا ہوا میں پلو سکھا رہی ہے

فلک پہ اس طرح چھپ رہے ہیں ہلال کے گرد و پیش تارے

کہ جیسے کوئی نئی نویلی جبیں سے افشاں چھڑا رہی ہے

کھٹک یہ کیوں دل میں ہو چلی پھر چٹکتی کلیو؟ ذرا ٹھہرنا

ہوائے گلشن کی نرم رو میں یہ کسی کی آواز آ رہی ہے؟


uedu nazam,albeli subh,anwar muavia,nazar jhuka.e urus-e-fitrat,dil ki dunya,dil ki duniya,urdu ghazal,ghazal,nazam,nazam urdu,nazam naat,nazam song,nazam 2023,ghazal ki dunya,ghazal ki faryaad,ghazal urdu,pukara mere dil ne allah o akbar,hassan anzar,ab yaad na aao rehne do,watu izzu mantasha watu zillu mantasha,mayoos mat hona,mayoos hai bahut,aata hai yaad mujhko guzra hua zamana,jalabeeb qadri,jalabeeb,josh,urdu nazam,new nazam,best nazam

#viral #ghazal #dilkiduniya #nazam #shortsvideo #shortsfeed
پارسال در تاریخ 1402/05/03 منتشر شده است.
61,354 بـار بازدید شده
... بیشتر