Koi Ummeed Bar Nahin Aati | Mirza Ghalib Poetry Rekhta

Rekhta
Rekhta
18.8 هزار بار بازدید - پارسال - koi ummid bar nahin aati
koi ummid bar nahin aati
koi surat nazar nahin aati

maut ka ek din muayyan hai
nind kyun raat bhar nahin aati

aage aati thi haal-e-dil pe hansi
ab kisi baat par nahin aati

jaanta hun sawab-e-taat-o-zohd (blessings by obeisance and devout)
par tabiat idhar nahin aati

hai kuchh aisi hi baat jo chup hun
warna kya baat kar nahin aati

kyun na chiKHun ki yaad karte hain
meri aawaz gar nahin aati

dagh-e-dil (heart sore, broken hearted ) gar nazar nahin aata
bu bhi ai chaaragar nahin aati

hum wahan hain jahan se hum ko bhi
kuchh hamari KHabar nahin aati

marte hain aarzu mein marne ki
maut aati hai par nahin aati

kaba kis munh se jaoge 'ghaalib'
sharm tum ko magar nahin aati
~Mirza Ghalib

Rekhta Recommends (Must Watch)
- Most Shared Videos
 Most Shared Urdu Shayari & Discussion...
- Most Viewed Urdu Shayari & Discussions
  Most Viewed Urdu Shayari & Discussion...
- Selected 'Urdu Poetry' by Rekhta Studio
 Selected 'Urdu' Poetry by Rekhta Studio
 
Subscribe & Click the notification bell :
rekhtashayari

Connect with us -
Visit the largest online resource for Urdu poetry and literature-
https://www.rekhta.org

Follow us on Social Media -
Instagram : Instagram: Rekhta_Foun..

Facebook : Facebook: RekhtaOfficial

Twitter      : Twitter: Rekhta
پارسال در تاریخ 1401/12/23 منتشر شده است.
18,832 بـار بازدید شده
... بیشتر