Meesum Gopalpuri Nauha|J Fatma zahra s.a | نوحہ جناب فاطمہ زہرؐا|میثم گوپالپوری|Ayyam E Fatmiya.

Aamir Gopalpuri official
Aamir Gopalpuri official
166.3 هزار بار بازدید - 5 سال پیش - #Meesum_Gopalpuri  Fatima(S.A)
#Meesum_Gopalpuri  

Fatima(S.A) Ka Bahre Madine Mein Gham Batane Koi Nahi Aya.

Ghar Jalne Tu Kalma Go Aye Haye Dar Bhujane Koi Nahi Aya.

Kya Wo Islam Ka Hi Markaz Tha Kya Madina Tha Wo Muhammad(SAWW) Ka.
Lag Rahe The Jahan Pe Zahra(S.A) Ke Tazyane Koi Nahi Aya.

Rasiyaan Thin Ali(A.S) Ki Gardan Mein Our Bazar Se Guzarte The.
Sab Tamashai Ban Ke Takte Rahe Our Chorane Koi Nahi Aya.

Ghar Jala Qatal Ho Gay Mohsin(A.S) Pasliyaan Syeda(S.A) Ki Toot Gayin.
Phir Bhi Kehte Ho Tum Keh Zahra(S.A) Per Zulm Dhane Koi Nahi Aya.

Khud Hi Chunne Lagi Nabi(SAWW) Zadi Bikhari Tehreer Apne Baba Ki.
Mustafa(SAWW) Ki Sanad Ke Tukroon Ko Haye Jab Uthane Koi Nahi Aya.

Har Sitam Fatima(S.A) Peh Dhaya Giya Jalta Darwaza Bhi Giraya Giya.
Apne Mehdi(A.S) Ko Di Sada Oss Ne Haye Jab Bachane Koi Nahi Aya.

Aath Shawal Ko Hoi :AKBAR: Phr Shahadat Nabi(SAWW) Ki Beti Ki.
Gir Raha Tha Mazaar Bibi(S.A) Ka Par Bachane Koi Nahi Aya.
5 سال پیش در تاریخ 1397/11/18 منتشر شده است.
166,302 بـار بازدید شده
... بیشتر