Badayun Mushaira - rahat.ki.shayari | Dr. Rahat Indori | Rahat Indori Mushaira

rahat.ki.shayari
rahat.ki.shayari
10.5 هزار بار بازدید - پارسال - Rahat Indori Books - https://amzn.to/32vaVvNJo
Rahat Indori Books - https://amzn.to/32vaVvN

Jo taur hai duniya ka usi taur se bolo
Behron ka ilaka hai zara zor se bolo

Aankho me hai kuch dil me hai kuch hontho pe kuch hai
Yun bol rahe ho to kisi aur se bolo

Dilli me hum hi bola kare amn ki boli
Yaaron kabhi tum log bhi Lahore se bolo

Is shahar ki kuch log jadein kaat rahe hain
Ye baat agar hai mahapaur se bolo

-

Kabhi akele me milkar jhanjhod dunga use
Jaha jaha se wo tuta hai jod dunga use

Mujhe wo chhod gaya ye kamaal hai uska
Irada maine kiya tha ke chhod dunga use

Pasine bantta phirta hai har taraf suraj
Kabhi jo hath laga to nichod dunga use

Maza chakha ke hi mana hu main bhi duniya ko
Samajh rahi thi ke aise hi chhod dunga use

Bacha ke rakhta hai khudko wo mujhse sheeshabadan
Use ye darr hai ke main todfod dunga use

-

Khade hain mujhko kharidar dekhne ke liye
Main ghar se nikla tha bazar dekhne ke liye

Kataar me kai nabina log shamil hain
Ameer e shahar ka darbar dekhne ke liye

Hazaron baar hazaron ki samt dekhte hain
Taras gaye tujhe ek baar dekhne ke liye

Har ek harf se chingariyan nikalti hain
Kaleja chahiye akhbar dekhne ke liye

-

Ye barf raate bhi bankar abhi dhuan ud jaye
Wo ek lihaf main odhu to sardiyan ud jaye

Bahot guroor hai dariya ko apne hone par
Jo meri pyas se uljhe to dhajjiyan ud jaye

Hawayein baaz kaha aati hai shararat se
Saro pe hath na rakhein to pagdiyan ud jaye

Bikhar bikhar si gayi hai kitab sanson ki
Ye kagzat khuda jane kab kaha ud jaye

-

Khushk dariyaon me halki si rawani aur hai
Ret ke niche abhi thoda sa pani aur hai

Ek kahaani khatm karke wo bahot hai mutmayin
Bhool baitha hai ke aage ek kahaani aur hai

Boriye par baithiye kulhad me pani pijiye
Hum qalandar hain hamari mezbani aur hai

Jo bhi milta hai use apna samajh leta hu main
Ek bimari mujhe ye khandani aur hai

-

Sabko ruswa baari baari kiya karo
Har mausam me fatwe jaari kiya karo

Roz wahi ek koshish zinda rehne ki
Marne ki bhi kuch tayyari kiya kari

Chaand zyada roshan hai to rehne do
Jugnu bhaiyya ji mat bhari kiya karo

-

Bulati hai magar jane ka nai
Ye duniya hai idhar jane ka nai

#RahatIndori #rahatkishayari
پارسال در تاریخ 1401/12/28 منتشر شده است.
10,504 بـار بازدید شده
... بیشتر