पैग़म्बर कौन होता है? paigambar | nabi | rasool | prophet kise kehte hain? paigambar kaun hota hai

ReligionForAll
ReligionForAll
34.5 هزار بار بازدید - 7 سال پیش - पैगंबर या Prophet कौन होते
पैगंबर या Prophet कौन होते हैं हिंदी में

DISCLAIMER
इस वीडियो में बताई गई बातें लेखक की अपनी जानकारी तथा समझ पर आधारित हैं। इस वीडियो का उद्देश्य किसी व्यक्ति विशेष या किसी धर्म या समुदाय के विचारों को ठेस पँहुचाना नही है, इस वीडियो का उद्देश्य दर्शकों को केवल जानकारी उपलब्ध कराना है। इसके बावजुद यदि इस वीडियो से किसी के मन को ठेस पहुँचती तो हम उनसे इसके लिए क्षमा याचन करते हैं।


Paighambar ek farsi shabda hai jiska artha hota hai paigham laane Wala. Jabki Quran aur Hadis me kahin bhi paighamber shabd nahi aya hai. Arabi bhasha mei paigamber ke liye "Nabi" ya "Rasool" shabd ka istemal hota hai aur yahi do shabd Quran aur Hadees me upyog hue hain.
Nabi shabd nikla hai arabic shabd "Naba" se jiska matlab hota hai samachar ya sandesh, tatha "Rasool" ka arth hota hai jispar utara jaye yani Allah ne jin par Bible aur Quran jaisi pustaken utari unhen Rasul kehte hain.
Kuchh vidwano ke anusar Rasool ke liye sanskrit shabd "Avatar" ka upyog kiya ja sakta hai Jiska shabdic arhta hota hai "jispar utara jaye"
Parantu samaya ke sath sath Avatar ka matlab badal gaya tatha avtar ka arth samjha jaane laga Ishwar ka swayam manushya ke rup me is dharti par avtarit hona.
Hindu dhamra me mana jata hai ki avtar ishwar ka hi rup hota hai iske viparita Islam me Nabi ya Rasool ko Ishwar ka rup kehna bahut bada paap maana jaata hai. Iske piche kai karan hain jinme do wajah pramukh hain
Pehla karan ye hai ki khuda Paighambar ko logon ke liye misal ya udaharan ke roop me pesh karta hai agar nabi bhagwan hota to logon ko ye kehne ka mauka mil jata ki ye toh nabi the inke lie seedhi rah par chalna tatha punya bhare karya karna saral tha ham manushyon ke liye nahi.
Doosra karan, nabi ko khuda maana jaye iska koi sakshya hi nahi, Quran me aya hai ki koi bhi sandeshta Qhuda nahi the balki Qhuda ke sajjan bhakta the, Quran mein aaya hai ki har nabi kisi na kisi maa ke pet se paida hua, Baba Adam (Alaihissalam) ko chhodkar har nabi khana khata tha, pani pita tha, har nabi hasta tha tatha rota tha tatha mal mutra bhi tyagta tha tatha har nabi ko mrityu bhi aayi agar nabi farishta ya bhagwan hota toh unke saath ye sab na hota.
Ek mat ke anusar is Dharti par lagbhag Ek laakh Chaubis Hazaar (1,24,000) nabi aaye jinme se sabse pehle nabi Baba Adam (Alaihissalam) the tatha sabse antim nabi paigambar e islam Hazrat Mohammad (sallallahu alaihi wasallam) . Islam mein maana jaata hai ki Prophet of Islam ke baad na hi koi nabi aaya hai aur na hi kabhi aayega aur agr kisi ne Mohammad Sahab ke baad swayam ko Nabi Ghoshit kiya toh veh bahut bada paapi hoga.
             



         Video clips   : Videoblocks
       
         Image source  : Wikimedia Commons

 Background Music  : ashamaluevmusic   @ashamaluevmusic
7 سال پیش در تاریخ 1396/06/10 منتشر شده است.
34,524 بـار بازدید شده
... بیشتر