Live Manqabat Bibi Zainab (SA) Poet Zain Jafri, Tumharay Bhai Ko Jab Dee'n Ne Di Sada Zainab (SA)

Zain Jafri
Zain Jafri
8.4 هزار بار بازدید - 2 سال پیش - Reciting at Salana Tarahi Mehfil
Reciting at Salana Tarahi Mehfil held at Janab Mir Takallum's residence on the birth occasion of the first daughter of Imam ALi (AS) and Bibi Fatima (SA) namely Shehzadi Zainab E Kubra (SA)

Tumharay bhai ko jab dee'n ne di sada Zainab (SA).
Tumhare bhai ki us dam sada thi "Ya Zainab" (SA).
1. Hussain (AS) bol rahe hen tumhare khutbo'n me.
Kabhi to lagta hey khunjar nahi chala, Zainab.
2. Furat se b wo tashna dahan palat aae.
Na janay Aun-o-Muhammad se kia kaha, Zainab.
3. Wo kainaat me bus tum ho jis ne naqay par.
Kabhi namaz e tahajjud na ki qaza, Zainab.
4. Sada ye aj bhi deta hey Maqsad-e-Shabbir (AS).
"Mafad ghoom rahe hen, mujhey bacha, Zainab."
5. Imam-e-waqt ki aankho'n ko parh rahi ho, tum.
Tumharay jesi nahi koi qariya, Zainab.
6. Hamare dor ka taghoot hum se razi hey.
To hum se razi ho tum ya k ho khafa, Zainab.
7. Khuda ka shukr jo tum ne kiya sar-e-darbar.
Kisi ka takht pe chehra utar gya, Zainab.
8. Hum uski shan me ab Zain or kia likhkhain.
Jisay bulatay hon, Zehra ki sania Zainab.
#1stShaban#ZainJafri#BibiZainabManqabat#ShabanJashn
2 سال پیش در تاریخ 1400/12/13 منتشر شده است.
8,406 بـار بازدید شده
... بیشتر