Kaho Ya Mehdi (ع) | Mir Hasan Mir | Manqabat 2012 | Manqabat Imam Zamana (ع) | Al Ajal Adrikni

Mir Hasan Mir
Mir Hasan Mir
140.4 هزار بار بازدید - 6 سال پیش - ll بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم
ll بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم ll

Kaho Ya Mehdi (ع) | Mir Hasan Mir | Manqabat 2012 | Manqabat Imam Zamana (ع) | Al Ajal Adrikni

Video Info :-

Reciter | Mir Hasan Mir
Kalam Title | Karnay Do Mujhay Saqi e Kausar Ki Sana
Poetry | Hasnain Akbar

Please Watch in HD #MirHasanMir #KahoYaMehdi #Manqabat

-----------------------------------------

Follow Us On Our All Social Media Channels :-

F A C E B  O O K : Facebook: MirHasanMir...
I N S T A G R A M : Instagram: mirhasanmir..
T W I T T E R : Twitter: mirhasanmir1
W E B S I T E : https://www.MirHassanMir.com
S O U N D C L O U D : SoundCloud: Mir-Hasan-Mir
Y o u T u b e : mirhasanmir
G O O G L E+ : https://plus.google.com/+MirHasanMir

------------------------------------------

● ●  LYRICS  ● ●

Ya mehdi
KAHO YA MEHDI(ع)

Yeh saari kaenat hai kaayam imam se
Baaki khuda ka naam hai Mehdi ke naam se…
KAHO YA MEHDI(ع)

1)Ek pal ko sochiye na agar ho shahe zamaa,
Baadal rahe na abr na barsaat ka nisha(n),
Pis jaye kaenat pahado(n) ke darmeya(n),
Dharti ke sar pe aan gire pal me aasma(n),
In saare haadsaate zamaana ke saamne
Deewar khech rakhi hai mere imam ne..

2)Suraj ko saare rastey batata hai khud Imam,
Mashrik hai ye yaha se nikalna hai tera kaam,
Thak jaye gar safar me to phir bhi hai ek makaam,
Maghrib hai mere kadmo me karna yahi qayaam,
Kehde jahan se waase nikalta hai aaftab
Mehdi se puch-puch ke chalta hai aaftab…

3)Wo hai toh kaenat hai, wo hai toh zindagi,
Wo hai to ye namaaz hai, wo hai toh bandagi,
Wo hai to aarahi hai sadaa Ya Hussain ki,
Wo hai to ho raha hai jahaa(n) me Ali-Ali,
Ab jo khilafe zikre Ali lab hilaega
Duniya se be hisaab jahanam me jaega

4)Aane se uske hogi sitam ki kitab band,
Hoga har ek muftiye shar ka nisab band,
Ghaibat ka dar khula to khulenge hisab band,
Maula kahenge hogaya tauba ka baab band,
Apne paron se pehle mohibbo(n) ko aad do
Jibreel phir zameen ko dozakh me jhaad do..

5)Raaze mukatteyaat ka hamraaz aega,
Qura(n) Ali ka likha hua saath laega,
Shaane nuzool aayato ki khud bataega,
Makki se makki , madni se madni milaega,
Far-far sahifa bolega uski janaab me
Wo jaan daal dega khuda ki kitab me..

6)Hoga imame wakt yu masroofe kaar zaar,
Kaandhe pe be niyam rakhi hogi Zulfiqar,
Allah hoga khud wali-allah par nisar,
Talwar khud karegi jari waar-waar-waar,
Fehrist dekhe dushmane aale batul ki
Phir dekh kya karegi saheli batul ki…

7)Tanzeeme rozgar ka nazim jab aaega,
Tabdiliyan bashar wo fitrat me laega,
Duniya ko apna hakke tasarruf dikhaega,
Insa(n) phir apni soch se bhi aage jaega,
Khairat me imam se paega maujizaat
Mitti ka aadmi bhi dikhaega maujizaat,

8)Hogi qaza ke haath me jine ki jab umang,
Aajaega har ek bashar zindagi se tang,
Iblisiyat dikhaegi duniya ko apna rang,
Naeb khuda ka aake ladega khuda ki jung,
Mit jaega badi ka nisha(n) kaenaat se,
Shaitan maara jaega Mehdi ke haath se..

9)Yu aas hai zahoor ki dil ke deyaar me,
Akbar jo maut aa bhi gayi intezar me,
Phir bhi tadap rahegi dile be karaar me,
Hum muntazir rahenge hamesha mazaar me,
Dega sadae jabhi hume waqt ka Hussain,
Qabron se hum pukarenge ‘Labbayk  Ya Hussain ”

Labbaik Ya Hussain

------------------------------------------

● ● Other Content ● ●


-------------------------------------------------------

Content & Digital Optimization by
Mir Hasan Mir Team

Copyright prohibited ⓒ - MirRecords
6 سال پیش در تاریخ 1397/09/26 منتشر شده است.
140,404 بـار بازدید شده
... بیشتر