Padhai pe focus kaise kare? | Arjun itne focused kaise the? | Life Lessons by Gauranga Das |

Gaurangadas Official
Gaurangadas Official
898.3 هزار بار بازدید - 10 ماه پیش - Kya aap bhi padhai pe
Kya aap bhi padhai pe focus karne mein struggle kar rahe hai? Kya Instagram aur Whatsapp notifications aapko exams ke samay padhai pe dhyan dene nahi de rahe hai? Kya aapko aapka concentration increase karna hai?

Aaj ke video mein Gauranga Das aapko kuch life lessons, strategies, suggestions aur examples ke saath samjane wale hai ki padhai pe focus kaise kare.

Life Lesson 1: Dedication to Mastery. Apne aap ko ek he target ki taraf samarpan kaise kare.

Agar aapko bhi koi bhi particular skill ko master karna hai toh aapko procastinate karna bandh karna hoga, regularly practice karna hoga aur distractions se durr rehna padega tab jaake aap ek skill ko master kar paaoge.

Iss life lesson ke baare mein aur jaane ke liye hum Arjun ke ek example ko dekhte hai.

Kya aapko pata hai, Dronacharya ne nirdesh diya tha ki koi bhi Arjun ko andhere mein khana na khilaye? Ek baar hua yeh ki voh khana kha rahe the aur candle buj gayi aur voh andhere mein khana kha rahe the tab unhe realise hua ki agar mein andhere mein kha sakta hu toh practise bhi kar sakta hu tab se Arjun ne roz raatko bhi archery ki practise karna shuru kar diya. Issi wajah se Dhronacharya ne yeh nirdesh diya tha, voh nahi chahte the ki Arjun aapni neendh chod ke bhi sirf abhyas he kare.
Kisi bhi skill pe mastery karne ke liye aapko yeh 4 strategies follow karne chahiye:

1. Define your goal.
2. Make a plan to achieve the goal.
3. Remove the distractions.
4. Don't fear making mistakes & don't get demotivated by them.

Aap jab bhi exam ke liye prepare kar rahe ho ya apne target ki taraf kaam kar rahe ho toh aapko kya kya distract karta hai? Whatsapp, instagram, pressure to excel? Agar aapko apne lakshya pe dhyan rakhna hai to Chalo jaante hai Arjun ki aur ek kahani se.

Life Lesson 2: Apne lakshya pe nazar rakhe

Dhronacharya ne apne students ki skills ko test karne ke liye unhein ek tree ki taraf point karke pucha aapko kya dikh raha hai aur har ek student ne alag alag jawaab diye jaise branch, leaves, tress, fruit, etc. Par jab yeh sawaal Arjun se kiya gaya tab unhone ne kaha ki mujhe ek pakshi ki aankh dik rahi hai aur unhone ek teer leke pakshi ki aankh cheer di.

Aise he humein bhi apne lakshya pe dhyan dena chahiye aur aas pass ke distractions se durr rehna chahiye.

Apne Lakshya pe concentration increase karne ke liye aapko yeh 4 suggestions follow karne chahiye:

1. Reduce the distractions & work in a calm environment to focus on your target
2. Working out regularly will help in increasing the blood flow to the brain
3. Yoga & meditation will help you increase your concentration
4. Sleep enough to improve your concentration

Life Lesson 3: Find the right mentor or walk the path laid down by God

You need a mentor to give you and help you navigate in your difficult times and when you are on your journey to achieve your target.

Appko kya lagta hai Arjun mahabharat kaise jeete? Arjun ko raah dikhane ke liye Krishna the, unhone pure yudh mein Arjun ko marg darshan diya jis wajah se Arjun apne lakshya ko jeet paaye.

Yadi aapko koi mentor nahi mil raha hai toh aapko Krishna ke bataya hue marg pe chalna chahiye jisse aapko lakshya paane mein aasani hogi, marg darshan milega. Bhagvad gita ka abhyas kare, aapko parikshya kya zindagi bhar ka gyaan milega.

Life lesson 4: खुद पर doubt करना बंद करें

Do you doubt or question the decisions you make? Are you always in self-doubt and think if you're good enough or not? There are students who are working hard, in a disciplined manner but still fear the result.

Aisa he kuch self-doubt wala moment Arjun ke life mein Kuruksherta mein hua tha.

Jab Arjun ke samne unki family aur teacher the yudh mein tab unke pass skill hone ke baad bhi voh will kho baithe. Tab Krishna ne Arjun ko samjaya ki apne parviar ki aur apna pyaar aur attachment give up karo aur apne actions ko apne duty ka part samjo aur usko apne results ke baare mein maat socho.

Humein sirf yahi socha hai ki mein ek aatma hu aur mere apni identity ko alag rakh ke sirf apni duty ko pura karo result aapko with time mil jayega.

Isiliye agar aap ek student ho aur aap yeh sun rahe ho to pehle bataye hue 4 lessons ko yaad rakho.

Follow Gauranga Das on Social media -

Instagram: Instagram: officialgaurangadas

Facebook: Facebook: gaurangadasofficial

Twitter: Twitter: GaurangaDas

LinkedIn: LinkedIn: gaurangadasofficial

To donate and support the Annakshetra Initiative, please check the below link-
https://govardhanannakshetra.com/dona...

Gauranga Das's Book -
https://www.amazon.in/Art-Focus-Stori...

For more videos on spirituality, subscribe to our channel -
@gaurangadasofficiall
10 ماه پیش در تاریخ 1402/08/28 منتشر شده است.
898,354 بـار بازدید شده
... بیشتر