Mai Heer Aur Mian Ranjha Ki Ziarat Karne Wali Aurat | Heer Ranjha Story | Baba Lakhan Rachara Story

Wekho Punjab
Wekho Punjab
13.7 هزار بار بازدید - 4 سال پیش - Mai Heer Aur Mian Ranjha
Mai Heer Aur Mian Ranjha Ki Ziarat Karne Wali Aurat | Heer Ranjha Story | Baba Lakhan Rachara Stor
in khatoon mai ji ka name Shamim Akhtar hai aur aaj ye hume btain gi apni life ke bare mein kuch purani batein yani apni life story ki old memories hmare sath share karen gi. is bibi ko hmare village me bazurg babay yani old man inko aapa ji kehte hein aur village kay bache aur jawan sab inko khala ji kehte hein yani inki poore gaon mein poore pind mein poore Village mein bahut izzat hai.
inhon nay btaya is video me k ye jawani me apne shoher apne husband ko talash karne nikal parin aur phir ek darbar per ek faqeer baba ne inko inke husband ke bare bataya k wo hon ge aur is khatoon is aurat ne apni zindagi mein bari mehnat ki bari riazat ki yni bare chillay kiye aur tonay b kiye tab ja ker aaj is muqam per faiz hain. ye sanp ke kate ka dam b karti hain aur chor chori ker ke bhag jaye to wo b ye dam drood se dhond leti hain ye inka kehna hai aur kisi ki gaon mein hadi toot jaye to wo b ye jor leti hain.
phir khala ji ne aage video me btaya k bara pai ek village hai jo Zafarwal ke qareeb hai wahan ye pind ye gaon bara pai hai wahan ek bohat bara darbar hai mazaar hai jiske Peer Baba khud chal ker is khatoon ke ghar aye aur aker apni ziarat karwai halanke wo Peer sahib bari der bare saal pehle fot ho chuke hein aur us Peer Baba ne aker Shamim Akhtar se kaha ke puter tum hmare pas na ao balke tum Arshara wala Baba Lakhan ke pas jao wahan tumhe shifa mile gi aur ye apko bta don ke Arshara wala Baba Lakhan bi sadion pehle wafat pa chuke hoye hein.phir ye aurat shamim akhter wahan arshara village gai aur wahan ja ker udher ek pani ka talaab hai jahan log ghusal kerte hein nahate hain pani peete hain to is Punjabi lady ne wahan se pani pia aur dua ker ke wapis agai aur wahan hindu baba ji baba lakhan ki ziarat hoi, phir khala shamim akhter btati hain ke ek rat me apne ghar me leti thi k asmano me urta ek jahaz aya peeche foj ka lashker tha aur sath ek takht per Baba Lakhan brajman thay aur wo takht hooron ne uthaya hoa tha aur wo mere ghar uter aye aur phir mein ne Baba Lakhan ki ziarat ki aur phir wo chale gaye.
phir aagay khala ji ne btya kay Jhang me mein Heer ke darbar per gai jahan jinno ka pehra tha aur phir agli bar gai to wahan seerhian ban gai theen to phir me ne Heer ke mazaar Heer ki qabar Heer tomb ke bahir khare ho ker Heer ko awaz di k mein ab ye seerhian nahi char sakti aur mein zila Sialkot se itni door se ai hon lihaza tum mujhe mazar se nikal ker mere pas aker ziarat do aur milo mujh se. so Heer qabar se bahir nikal ayi aur mujhe gale mili. khala ji shamim akhter ne btya k Heer bahut sohni thi bara husan tha bari haseen o jameel thi.
phir khala ji shamim akhter ne ye b btya ke Heer ka ashiq Ranjha bi mujhe mere pind mere village mere gher me aker ziarat karwa ker geya aur wo Ranjha bi bara khubsoorat tha, phir agay is khatoon ne Heer Ranjha ki poori story sunai aur sath sath Heer Ranjha ki poetry b ga ker sunai. is video mein khala ji aapa ji shamim akhter sahiba ne apni life aur uski old memories purani yaden taza kein aur Baba Lakhan ki story hmare sath share ki aur Heer Ranjha ki story aur poetry bi hmaray saath share ki jo waqai bohut mazedar thi jise sun ker mujhe bahut maza aya. aur phir baton baton me khala ji nay hindu guru guru gorakh nath ji ki story b sunai aur Sikh Guru Baba ji Guru Nanak sahib ji da ziker v keeta.
aakhir pe khala ji ne hasil pur ke peer shah rangeela peer ka waqia b sunaya..
hum is waqt tehsil Pasrur district Sialkot ke Village kamonkey khurd mein bethe ye video bna rahe hein aur ye muhtarma khatoon bibi ka pichla pind Rupowali hai aur Rupowali se ye 1965 mein shadi karwa ker yahan is gaon kamonkey khurd mein tashreef lain aur inke husband ka name Malik tha jo ab is duniya mein nahi!
Shamim Akhtar Life Story
baba lakhan
Shah Rangeela Peer
Shah Rangeela
hindu Baba Lakhan story
hindu Baba Lakhan ki ziarat
baba lakhan story
Guru Nanak
Guru Gorakh Nath
Heer Ranjha Poetry
Heer Ranjha Story
Heer tomb
Heer ki qabar
Heer story
Ranjha ki ziarat
Ranjha Story
Heer Ranjha ki kahani
Shamim Akhtar
Qais Dhudra
Wekho Punjab
#heer #ranjha #heerranjha
4 سال پیش در تاریخ 1399/10/26 منتشر شده است.
13,772 بـار بازدید شده
... بیشتر