hamen to loot liya mil ke husn walo ne..Al Hilal,1958_Ismail Azad_Shevan Rizvi_Bulo C Rani_a tribute

9431885 MK
9431885 MK
8.5 میلیون بار بازدید - 12 سال پیش - Song :Hamen to loot liya
Song :Hamen to loot liya mil ke husn walon ne..
Film : Al Hilal 1958
Singer : Ismail Azad,
Lyrics By: Shevan Rizvi,[Story, Screenplay & Dialogues],
Music Director: Bulo C Rani,
Cast: Mahipal, Shakeela, Hiralal, Sheikh, Indra, Ram Kumar, Indira,
Director: Ram Kumar ,
Producer: Akkoo Productions,

Lyrics :

hamen to loot liyaa
mil ke husn waalon ne
kaale-kaale baalon ne,
gore-gore gaalon ne
hamen to loot liyaa
mil ke husn waalon ne
kaale-kaale baalon ne,
gore-gore gaalon ne

nazar mein shokhiyaan aur bachpanaa sharaarat mein
adaayen dekh ke ham phans gaye mohabbat mein
ham apni jaan se jaayenge jinki ulfat mein
yaqeen hai ki na aayenge wo hi maiyyat mein
Khuda sawaal karegaa agar qayaamat mein
to ham bhi kah denge,
ham lut gaye sharaafat mein
hamen to loot liyaa
mil ke husn waalon ne
kaale-kaale baalon ne,
gore-gore gaalon ne
hamen to loot liyaa
mil ke husn waalon ne
kaale-kaale baalon ne,
gore-gore gaalon ne

wahin-wahin pe qayaamat ho wo jidhar jaayen
jhuki-jhuki huyi nazron se kaam kar jaayen
tadaptaa chhod den raste mein aur guzar jaayen
sitam to ye hai ki dil le len aur mukar jaayen
samajh mein kuchh nahin aataa ki ham kidhar jaayen
yahi iraadaa hai ye kahke ham to mar jaayen
hamen to loot liyaa
mil ke husn waalon ne
kaale-kaale baalon ne,
gore-gore gaalon ne
hamen to loot liyaa
mil ke husn waalon ne
kaale-kaale baalon ne,
gore-gore gaalon ne

wafaa ke naam pe maaraa hai bewafaaon ne
ki dam bhi ham ko na lene diyaa jafaaon ne
Khudaa bhulaa diyaa in husn ke Khudaaon ne
mitaa ke chhod diyaa ishq ki khataaon ne
udaaye hosh kabhi zulf ki hawaaon ne
hayaa ne naaz ne lootaa kabhi adaaon ne
hamen to loot liyaa
mil ke husn waalon ne
kaale-kaale baalon ne,
gore-gore gaalon ne
hamen to loot liyaa
mil ke husn waalon ne
kaale-kaale baalon ne,
gore-gore gaalon ne

hamen to loot liyaa
mil ke husn waalon ne
kaale-kaale baalon ne,
gore-gore gaalon ne

hazaaron lut gaye nazron ke ik ishaare par
hazaaron bah gaye toofaan banke dhaare par
na inke waadon kaa kuchh theek hai na baaton kaa
fasaanaa hotaa hai inkaa hazaar raaton kaa
bahut haseen hai waise to bholpan inkaa
bharaa huaa hai magar zahar se badan inkaa
ye jisko kaat len paani wo pea nahin saktaa
dawaa to kyaa hai duaa se bhi jee nahin saktaa
inhin ke maare huye ham bhi hain zamaane mein
hai chaar lafz muhabbat ke is fasaane mein
hamen to loot liyaa
mil ke husn waalon ne
kaale-kaale baalon ne,
gore-gore gaalon ne
hamen to loot liyaa
mil ke husn waalon ne
kaale-kaale baalon ne,
gore-gore gaalon ne

zamaanaa inko samajhta hai nek aur maasoom
magar ye kaise hain kyaa hain kisiko kyaa maaloom
inhen na teer na talwaar ki zaroorat hai
shikaar karne ko kaafi nigaah e ulfat hai
haseen chaal se dil paayemal karte hain
nazar se karte hain baaten kamaal karte hain
har ek baat mein matlab hazaar hote hain
ye seedhe-saade bade hoshiyaar hote hain
Khudaa bachaaye haseenon ki tez chaalon se
pade kisi kaa bhi paalaa na husn waalon se
hamen to loot liyaa
mil ke husn waalon ne
kaale-kaale baalon ne,
gore-gore gaalon ne
hamen to loot liyaa
mil ke husn waalon ne
kaale-kaale baalon ne,
gore-gore gaalon ne

husn waalon mein mohabbat ki kami hoti hai
chaahne waalon ki taqdeer buri hoti hai
unki baaton mein banaawat hi banaawat dekhi
sharm aankhon mein nigaahon mein lagaawat dekhi
aag pahle to mohabbat ki lagaa dete hain
apne rukhsaar kaa deewaanaa banaa dete hain
dosti kar ke phir anjaan nazar aate hain
sach to ye hai ki beimaan nazar aate hain
maut se kam nahin duniyaa mein muhabbat inki
zindagi hoti hai barbaad badaulat inki
din bahaaron ke guzarte hain magar mar-mar ke
lut gaye ham to haseenon pe bharosaa kar ke
hamen to loot liyaa
mil ke husn waalon ne
kaale-kaale baalon ne,
gore-gore gaalon ne
hamen to loot liyaa
mil ke husn waalon ne
kaale-kaale baalon ne,
gore-gore gaalon ne..

Al-Hilal  8 Song(s)
Music Director(s): Bulo C. Rani
Lyricist(s): Sheven Rizvi

Hamen To Lut Liyaa Milake Husn Vaalon Ne

Singer(s): Ismail Aazad



Bigdi Hai Baat Banade Bigdi Ke Banane Wale

Singer(s): Manna Dey, Suman Kalyanpur


Hume To Loot Liya Milke Husn Walo Ne

Singer(s): Ismail Aazad



Amma Amma Mai Bada Hoke Bohot Kaam

Singer(s): Suman Kalyanpur



Chaku Wala Churi Wala Chaku Wala (Part 1)

Singer(s): Shamshad Begum


Chaku Wala Churi Wala Chaku Wala (Part 2)

Singer(s): Shamshad Begum



Shikwa Hai Na Tujhse Na Koi Shikayat Ankhe Teri Sarkar Mai Nazrana

Singer(s): Suman Kalyanpur



Tum Ho Dil Ke Chor Kare Dil Shor Tumhe Pehchan Liya

Singer(s): Manna Dey, Suman Kalyanpur




Al Hilal (Judgement of Allah) is also made in the year 1935 by Mehboob Khan.

Al Hilal (Judgement of Allah) is a 1935
Urdu/Hindi costume drama film.It was the debut directorial venture of Mehboob Khan.[2] He went on to become "one of the pioneer directors of Indian Cinema". The film is thought to be inspired by Cecil B. DeMille's The Sign of the Cross.The film was produced by Sagar Movietone. The director of photography was Faredoon Irani. The music composer was Pransukh Nayak with lyrics by Munshi Ehsan Lucknavi.
12 سال پیش در تاریخ 1391/03/23 منتشر شده است.
8,590,557 بـار بازدید شده
... بیشتر