Sakai Haram Rakh lena Bharam Hum Dar pe Tumhary Aaye Hain | Shadman Raza & Mohammad Mufid

Hali Production
Hali Production
227.5 هزار بار بازدید - 7 سال پیش - Saqqai Haram Rakh Lena Bharam
Saqqai Haram Rakh Lena Bharam hum Dar pe Tumhary Aaye Hain


Kalam :
Saqqai Haram Rakh Lena Bharam hum Dar pe Tumhary Aaye Hain

Recited by shadman raza Naqvi

live recorded in Bainul Haramain Karbala.

Recorded by Hali Production


Lyrics


Abbas Abbas ya abal fazlil  abbas (2)


Sakkaae haram rakle na bharam ham dar pe tumhare aye hai(2)



Tum bhi nahi ham ko thukrana (2)

Ham duniya ke thukraaye hai



Sakkaae haram rakle na bharam ham dar pe tumhare aye hai(2)



Abbas abbas ya abal fazlil abbas



1) ab Saare sahaare toot chuke,hame apne paraye loot chuke (2)



Tum apni panaho me le lo (2)

Ham ran se bohot ghabraae hai



Sakkaae haram rakle na bharam ham dar pe tumhare aye hai



Abbas Abbas ya abal fazlil  abbas



2) Ashko ki zubaan pehchaante ho,jo dil me hai wo bhi jaante ho (2)



Ham keh nahi sakte tum sunlo (2)

Bas haatho ko failaaye hai



Sakkaae haram rakle na bharam ham dar pe tumhare aye hai



Abbas Abbas ya abal fazlil  abbas



3) Har sooni godi bhar jaye ,har beti ko rishta mil jaye(2)



Un chehro ko ronak de do (2)

Jo gham ke sabab murjaye hai



Sakkaae haram rakle na bharam ham dar pe tumhare aye hai



Abbas Abbas ya abal fazlil  abbas



4) Maula tum baabe hawaaij ho,roze pe unhe bhi bulwaalo (2)



Ghurbat ke sabab jo aa na sake (2)

Ham unke  areeze laaye hai



Sakkaae haram rakle na bharam ham dar pe tumhare aye hai



Abbas Abbas ya abal fazlil  abbas



5) Jo naam tumhara leta hai,Allah bhi usko deta hai (2)



Khairaat buriida shaano ki (2)

Lene ke liye ham aaye hai



Sakkaae haram rakle na bharam ham dar pe tumhare aye hai



Abbas Abbas ya abal fazlil  abbas



6) Hote hai kitne zulm shadid aur ehle aza hote hai shaheed(2)



Jo khatm yazido ko kar de (2)

Wo taakat maangne aaye hai



Sakkaae haram rakle na bharam ham dar pe tumhare aye hai



Abbas Abbas ya abal fazlil  abbas



7) Maula hai aapse eak sawaal,Allah hame de rizk e halaal(2)



Ho lashkar  mehdi me shaamil (2)

Jitney bhi zaayer aaye hai



Sakkaae haram rakle na bharam ham dar pe tumhare aye hai



Abbas Abbas ya abal fazlil  abbas



8)Kha kha ke tamaache roti hai,zindaan ki qaak pe soti hai (2)



Buj jaaye pyaas sakina ki (2)

Ham aankh me aansu laaye hai



Sakkaae haram rakle na bharam ham dar pe tumhare aye hai



Abbas Abbas ya abal fazlil  abbas



9) Darbar saqi Abbas ka tha,kuch maangna tha laazim maanga (2)



Lekin ye haqeeqat bhi hai qamar (2)

Ham pursa dene aye hai



Sakkaae haram rakle na bharam ham dar pe tumhare aye hai



Abbas Abbas ya abal fazlil  abbas



Ya abal fazlil abbas
7 سال پیش در تاریخ 1396/03/10 منتشر شده است.
227,530 بـار بازدید شده
... بیشتر