Walid ki wafat par | On my father's death | Emotional Poetry by Nida Fazli | Rekhta Studio

Rekhta
Rekhta
139.5 هزار بار بازدید - 5 سال پیش - Apne walid ki wafat par
Apne walid ki wafat par Nida Fazli ki ek dil-soz nazm RJFahad ki aawaaz mein.

A tribute to Nida Fazli on his Death Anniversary by Rekhta Studio.

tumhaari qabr par
main fatiha(prayers made on grave) paDhne nahin aaya
mujhe malum tha
tum mar nahin sakte
tumhaari maut ki sachchi KHabar jis ne uDai thi
wo jhuTa tha
wo tum kab the
koi sukha hua patta hawa se mil ke TuTa tha
meri aankhen
tumhaare manzaron mein qaid hain ab tak
main jo bhi dekhta hun
sochta hun
wo wahi hai
jo tumhaari nek-nami aur bad-nami ki duniya thi
kahin kuchh bhi nahin badla
tumhaare hath meri ungliyon mein sans lete hain
main likhne ke liye
jab bhi qalam kaghaz uThata hun
tumhein baiTha hua main apni hi kursi mein pata hun
badan mein mere jitna bhi lahu hai
wo tumhaari
laghzishon(mistakes) nakaamiyon(unsucessful) ke sath bahta hai
meri aawaz mein chhup kar
tumhaara zehn rahta hai
meri bimariyon(sickness) mein tum
meri lachaariyon(helplessness) mein tum
tumhaari qabr par jis ne tumhaara nam likha hai
wo jhuTa hai
tumhaari qabr mein main dafn hun
tum mujh mein zinda ho
kabhi fursat mile to fatiha paDhne chale aana
~Nida Fazli

Listen this nazm in his own voice at Rekhta-
Walid ki Wafat par_Nazm by Nida Fazli...

Video graphics & editing- Kiran Agarwal
-------------------------------------------------------------------------
Connect with us -

Visit the largest online resource for Urdu poetry and literature-

https://www.rekhta.org
Website : https://www.jashnerekhta.org

Follow us on Social Media -

Instagram : Instagram: Rekhta_Foun..

Facebook : Facebook: RekhtaOfficial

Twitter      : Twitter: Rekhta

#RekhtaShayari #NidaFazli #EmotionalPoetry
5 سال پیش در تاریخ 1397/11/19 منتشر شده است.
139,563 بـار بازدید شده
... بیشتر