Shah e Madina (With Naatia Ashaar) By Tasleem Ahmed Sabri

NaatsONLINE
NaatsONLINE
22.8 هزار بار بازدید - 8 سال پیش - Naat Sharif: Shah e Madina
Naat Sharif: Shah e Madina (With Naatia Ashaar)
Naat Khuwan: Tasleem Ahmed Sabri
Mehfil e Naat: Bazm e Gousia
City: Wazirabad, Punjab, Pakistan.

Lyrics of this Beautiful Naat Shareef :

Shah e Madina, Shah e Madina
Yas Rab kay wali Sare Nabi tere dar ke sawali
Shahe Madina, Shah e Madina

Jalwae hain sare teray hi dam say,
Abad-e Alam tere karam se
Baki har ek shai
Nakshey khayali sare Nabi tere dar ke sawali
Shahe Madina

Tere liye hi duniya bani hai,
Neelay falak ki chadar tanee hai
Tu agar na hota
Duniya thi khali sare Nabi tere dar ke sawali
Shahe Madina

Tuney jahan ki mehfil sajai,
Tarikiyon mein shama jalai
Har simt chayee
Raat kaali sare Nabi tere dar ke sawali,
Shahe Madina
Shah-e-Madina

Mazhab hai tera sab ki bhalai, maslak hai tera mushkil kushai
dekh ke apni umat ki khasta haali, sare nabi tere dar ke sawali

Hai noor tera shamso qamar mein, tere laboon ki laali sahar mein
Phoolon ne teri khusbu chura li, sare nabi tere dar ke sawali

Kaba ka kaba tera hi ghar hai, tere karam pe sab ki nazar hai
Dikhlade hum ko darbare aali, sare nabi tere dar ke sawali

Hain ap dukhyon ke aaqa sahare, Taje shafa at hai sar pe tumhare
Ham ko aata ho roze ki jaali, sare nabi tere dar ke sawali

Taiba ke wali sare nabi tere dar ke sawali
Shahe Madina, shahe madina, shahe madina”

Lyrics from (Also available in English Translation): http://www.islamiclyrics.net/saira-na...

Hud be sunien aur dosto k sath SOCIAL MEDIA per SHARE b krien !!

Subscribe My channel for more Naat Sharif Videos: naatsonline

#Tasleem_Ahmed_Sabrii #Shah_e_Madina

Copyright Disclaimer Under Section 107 of the Copyright Act 1976, allowance is made for "fair use" for purposes such as criticism, comment, news reporting, teaching, scholarship, and research. Fair use is a use permitted by copyright statute that might otherwise be infringing. Non-profit, educational or personal use tips the balance in favor of fair use.

Thanks/Shukria !!
8 سال پیش در تاریخ 1395/12/03 منتشر شده است.
22,806 بـار بازدید شده
... بیشتر