Hamare Khoon Mein Shaamil Hai | Ali Raza Rizvi s/o Sachay Bhai | Muharrum 1446 AH | 2024

AZH 110
AZH 110
6.6 هزار بار بازدید - ماه قبل - Title: Hamare Khoon Mein Shaamil
Title: Hamare Khoon Mein Shaamil Hai
Recited by: Ali Raza Rizvi s/o Sachay Bhai
Written by: Zafar Abbas Zafar
Jawab by: Asim Rizvi | Wamiq Rizvi | Mussahar Rizvi | Saif Rizvi (Grandsons of Sachay Bhai)
Audio: ODS Studio
Videography by: AZH Productions (Zohair Raza Zaidi)
Video Editor: Junaid Qureshi

=================================

Hamaare khoon mein shaamil hai yeh aza-e-Hussain
Khuda ne khalq kiya hai hamein baraaye Hussain

Ata kiya Abu Talib ko laal Kaabe se
Khudai teri hai mamnoon aye Khudaa-e-Hussain

Mere Habeeb na sajde se aaj sar uthey
Yeh hukm-e-Rab hai ke jab tak na ho raza-e-Hussain

Mere Hussain ne tauheed ko bachaya hai
Hussainiyat ki bhi bachaayega Kibriya-e-Hussain

Tujhi se aaj bhi baaqi hai naam-e-Rab-e-Ullya
Tabhi to naaz mashiyat tere uthaaye Hussain

Basurat-e-Shah-e-Duldul sawar Aali madde
Fiza mein goonj rahi hai abhi sada-e-Hussain

Ata karega wohi be-pisar ko saath pisar
Raza-e-katib-e-taqdeer hai raza-e-Hussain

Pisar ki laash ko dekhi gi kis tarah madar
Dar-e-Rabab pe baithe hain sar jhukaaye Hussain

Khuda ka shukr ada kar rahe hain maqtal mein
Jawaan bete ki muyyad galle lagaaye Hussain

ہمارے خون میں شامل ہے یہ عزاِ حسین
خدا نے خلق کیا ہے ہمیں برائے حسین

عطا کیا ابوطالب کو لال کعبے سے
خدائی تیری ہے ممنون اے خدائے حسین

میرے حبیب نا سجدے سے آج سر اٹھے
یہ حکمِ رب ہے کے جب تک نا ہو رضائے حسین

میرے حسین نے توحید کو بچایا ہے
حسینیت کیپی بچائیگا کبرائیے حسین

تُجھی سے آج بھی باقی ہے نامِ ربِ اُللّی
تبھی تو ناز معشیت تیرے اٹھائے حسین

بصورتِ شاہِ دُلدُل سوار آل مددے
فضا میں گونج رہی ہے ابھی صدائےحسین

عطاء کرے گا وہی بے پسر کو ساتھ پسر
رضائے کاتبِ تقدیر ہے رضائے حسین

پسر کہ لاش کو دیکھی گی کس طرح مادر
درِ رباب پے بیٹھے ہیں سر جھکائے حسیں

خدا کا شکر ادا کر رہے ہیں مقتل میں
جوان بیٹے کی معیت گلے لگائے حسین
ماه قبل در تاریخ 1403/04/24 منتشر شده است.
6,613 بـار بازدید شده
... بیشتر