Alam E Arwah se Alam E Nasoot ka Safar - Spiritual World in Urdu - Knowledge of Soul in Urdu

Allah Ki Pehchan
Allah Ki Pehchan
46.4 هزار بار بازدید - 6 سال پیش - Asslam o Alailum Nazeen hum
Asslam o Alailum Nazeen hum aap ko humary is channel Allah Ki Pehchan mein khush aamded kehty hain.
Alam E Arwah se Alam E Nasoot ka Safar - Spiritual World in Urdu - Knowledge of Soul in Urdu
aj hum INSHAALLAH Allah Talaa ki di hui tofeeq se jis mozu par baat krein ge wo ye hai ke aalim arwah kon sa aalim hai aur is mein kia hua tha aalim nasoot kon sa aalim hai kia is aalim mein hi insaan ko sahib ikhtiyar banaya gia. aalim arwah kon sa aalim hai? rooh ka zahur aur hissein bedar hona? rooh mein hawas kesey peda huay? lohe mehfoz mein rohun ka record? aalim nasoot kon sa aalim hai? aalim nasoot rooh ka aarzi qiam? isi aalim mein insaan ko sahib e ikhtiyar banaya gia?
aalim arwah
asa aalim jahan tamam rohon ko peda farmaya gia isi aalim mein rohon mein hawas peda huay roz e azal isi aalim mein Allah ka dedar kai gia.
aalim nasoot/madi dunya
asa aalim jahan rohein aalim arwah se nazol kar ke aarzi tor par qiyam karti hain asa aalim jahan insaan ko sahib e ikhtiyar banaya gia is aalim mein rooh ka libaas madi jism hai.
Allah ka noor aasmanon aur zameen mein phela hua hai. kainaat ki har cheez Allah ke noor se mehak rahi hai ye noor kainaat ke zarey zarey ko zindgi bakhash raha hai.
aalim arwah mein rohon ki tekhleeq kesay hui?
Allah Talaa ne apney noor se aik aalim peda farmaya jesey aalim arwah ka naam dia gia. phir is aalim mein apney khaas noor se rohon ko ped farmaya rohein Allah Talaa ke noor se juda ho kar bilkul be jaan ho gain. sakat ho gain. to Allah Rab ul izzat ne apni muhabbat ki nigah se in sab par apni shafqat farmai. aur farmaya: jonhi ye norani alfaaz in rohon ke kanon tak puhanchey to sunney ki his peda ho gai phir sunney ke baad rohon ne apney Allah ke noor ko dekha to dekhney his peda ho gai dekhney ke baad apney Allah ki aawaz par jawab dia yani to bolney ki his peda ho gai. jab tamam rohein aik aawaz se apney Allah se mukhatib hoin to aik dosrey ki pehchan yani mehsus honey ki his peda ho gai. ab in rohon mein mukamal hawas peda ho gay. ye harkat karney lag parin. har cheez ko samjney ki salaihtein in mein peda ho gain is ke baad Allah Rab ul izzat ne tamam rohon ka aik mukamal record bana kar loh e mehfuz par naqsh farma dia. Allah Talaa ke hukam aur apney apney waqat muqarrah par rohein aalim arwah se aalim nasoot ki tarf chalein. aalim nasoot / madi dunya: wo aalim jahan rohein aalim arwah se nazul kar ke aalim nasoot mein aain. is aalim mein jo rooh ko libaas dia gia. wo madi jism ki shakal mein hai insani jism ki banawat insani jism teen ajzaa se mukamal hota hai. hadian, gosht posht, rooh. in mein asal cheez rooh hai. rooh agar nikal jay to baqi jism ki koi hashat baqi nahi rehti. rooh ke baqair is jism par koi bhi cheez asar andaz nahi hoti. na garmi, na sardi, na khushi ki kefeyat na dukh ki takleef na milney ki khushi na judai ka gham. na bhuk na piyas aur na koi aas umeed. asal in se faida tab hi ho ga. jab aap ke jism mein rooh mojud hai. is rooh se hi aap ki zindgi hai. aap ki khushian hain. aap ke sakun hain. isi rooh ne ibadat karni hai. isi rooh ne reyazat karni hai. yehi rooh roz e azal apney Allah se mili thi aur isi rooh ne apney Allah ki aawaz suni thi isi rooh ne apney Allah ko dekha tha aur yehi rooh ab apney Allah se door ho kar tarap rahi hai. doori ki waja se be sakun hai pareshan hai. isey tabi sakun miley ga jab dobara apney Allah ko dekhey gi apney Allah se miley gi.
ALHAMDULILLAH aaj hum ne is baat par ghor o fikar kia ke aalim arwah kon sa aalim hai isi aalim mein humari rohein Allah se juda ho kar aain aur phir isi aalim mein Allah ki muhabbat se dobara rohon ko zindgi mili aur in mein zindgi ke wo hawas peda huay jin ki waja se hum dekhtey suntey boltey aur mehsus kartey hain. aalim arwah mein tamam hawas peda honey ke baad Allah Talaa ne tamam rohon ka mukamal nasoot ke barey mein samja ke ye wo  aalim hai jahan rohon ko aarzi qiyam ke ley bheja gia. is aalim mein rooh ko jo libaas dia gia wo madi jism ki shakal mein hai. mazeed ghor o fikar kia gia ke asal cheez rooh hai jis se humari tamam zindgi ka dar o madar hai. isi rooh ko pehchan kar hum apney Allah ke qareeb ho saktey hain. rooh ko janney ke ley is ke raaz se waqaf honey ke ley behtreen aur aasan amal muraqba hai. muraqba ke zarye hum rohani dunya mein dakhil ho kar apney Allah ke jalwon mein gum ho saktey hain aur apney Allah ko pasaktey hain.
humey umeed hai ke aap ko humari yeh koshesh passnd aai ho gi aur agar aap ko humari yeh video passnd ay to plz esy like karin aur esy apny pyarun ke sath share karin aur humary is Channel Allah Ki Pehchan ko zrur Subscribe karin, aap ka bohat bohat shukria.
******************************************************

Plz humey follow karin:

GOOGLE PLUS: https://plus.google.com/u/0/b/1046609...

TWITTER: Twitter: AllahKiPehchan

FACEBOOK: Facebook: Allah-Ki-Pehchan-279747499183560

YOUTUBE: allahkipehchan

*******************************************************
6 سال پیش در تاریخ 1397/10/09 منتشر شده است.
46,443 بـار بازدید شده
... بیشتر