How to configure Gmail account in Outlook in hindi Step by step

Technical Domain
Technical Domain
152.3 هزار بار بازدید - 4 سال پیش - Dosto aaj ka hamara video
Dosto aaj ka hamara video hai Gmail accounts ko outlook me kaise configure karte hai?
Dosto gmail id ko login kijiye. Uske baad aap top tight side me settings ke button me click karke dropdown me se settings or see all setting me click kare fir Forwading and POP/IMAP tab pe click kare aur pop download me pop ko enable kare sath hi imap ko bhi enable kare, fir save changes me click kare. Uske bad dosto aapko apne gmail id ke icon me click karke manage your google account me click karna hai. Fir security me click karna hai fir curser ko drag karke niche lekar less secure app access ko on kar dena hai. (Less secure app ka link: https://myaccount.google.com/lesssecu... ) ab gmail ko signout kar de ya close kar de.

Outlook open kare uske bad file me jaker accounts settings me click kare fir email ke niche new me click kare ya aap control panel open karke mail ko open kare aur uske bad email accounts me click kare uske bad email ke under new pe click karna hai uske bad manually configure server setting me click kare aur next next pe click kare. Uske baad "Internet E-mail” pe select karke next me click kare. Uske bad dosto apna name email id account type me pop ko set kare. Incoming mail server me “pop.gmail.com” & out going mail server me “smtp.gmail.com” uske baad aap username me apna pura email id dal de aur password enter Karen.
(Aap chahe to account type me imap set kar sakte ho uske liye aapka incoming mail server “imap.gmail.com” aur baki sab same rahega.)
Uske bad dosto aapne more settings me click karna hai aur outgoing server tab me click karne ke bad my outgoing server (SMTP) ko check kardena hai. Uske bad dosto aapne advanced tab me click karke "Incoming server(POP)" me "995" aur uske baad “This server requires an…. Ko check kar dena hai. Uske bad dosto aapne outgoing mail server me 58 velue ko set karna hai aur “use the following type…… me se TLS select karna hai. Uske bad dosto okay me click karke next me click karna hai and wait karna hai jab tak test setting complete na ho jaye, uske bad close me click karke finish karna hai.

Dosto agar aap Incoming mail server (IMAP) use kar rhe ho to port id ko 993 enter karna hai. Aur use the following type…. Me se SSL select karna hai aur outgoing mail server me 465 set karna hai.

Dosto aapko ye video kaisi lagi hame comment kare sath hi is video ko like & share kare aur hamare channel ko subscribe kare. Dhanyawad dosto

Jai Hind!!!
Jai Bharat!!!

How to add your Gmail account to Outlook

How to setup gmail id in outlook

How to setup Outlook to work with Gmail

How to setup or configure Gmail with Ms Outlook

How to set up Gmail on Outlook 2007, 2010, 2013 and 2016.

Configure gmail in outlook 2016 (Step by step guide)

How to Configure Gmail in Outlook 2013 | Manual Setup Mode

How to Setup and Configure Gmail in Outlook 2020 | Gmail Account


Follow us on Facebook: Facebook: Technical-Domain-109236797459300
Follow us of Instagram: Instagram: technical_domain
#TechnicalDomain #configuregmail #poporimap #gmailinoutlook
4 سال پیش در تاریخ 1399/03/20 منتشر شده است.
152,361 بـار بازدید شده
... بیشتر