Darood Sharif | Darood Pak Ki Ijazat Talab Karni Chaheay? | Video 11 by Hafiz Mohsin

Darood Academy
Darood Academy
1.6 هزار بار بازدید - 2 سال پیش - www.daroodacademy.com#daroodsharif
www.daroodacademy.com

#daroodsharif #darood #daroodpak

*To receive Darood Shareef PDF Book / to inspire others, you can send your real-life stories, dreams & questions related to Darood Pak via:

Contact Hafiz Mohsin at +92 333 2126090

FB Page link: Facebook: islamipoint21

App link:
https://play.google.com/store/apps/de...

Darood Pak Encyclopedia by Hafiz Mohsin Jhunghvi.

Iss video me darood pak kay hawalay say zikar kiya gaya he keh Darood Pak Ki Barkaat Aur Rehmatoon Ka Nazool Marney Ke Baad. Darood Pak Parhtey Huey Kushbo Mehsoos Hona or darood pak kay mushahidaat kay barey me bataya gaya he. Darood sharif ki bohut barkaat hen. Darood pak bohut mujarrab amal he. Darood sharif ki fazilat bohut ziyada he. Darood Sharif Ki bohut barkaat hen. Darood Pak say bohut logon ki zindagi badli / How Darood e Pak changed life ? Subhan Allah. Please watch my complete video to know. Thank you. Madina pak ki muhabbat nay logo ko bohut muqam atta kiya he. Real Life Incidents me kai esay waqiat hen kay jin logoon nay bhi darrod parha nabi Muhammad pbuh ki muhabbat me humesha kamyab huey hen. Beshak! Sirf darood pak kay zariye hi kamyabi mumkin he. Allah pak ney apne piyary Nabi Hazrat Muhammad e Mustafa ﷺ ko dono jahan kay lye rehmat bana kar bheja hai Jiska zikar Quran e Pak mein bhi mojoud hai. Aur Aap ﷺ ko aesy maqam par sarfaraz farmaya jaisa maqam kisi ko na atta kiya. Hata keh Allah pak ney darood sharif ki fazilat mein yahan tak farma diya keh Allah aur oskay farishtay Nabi e pak ﷺ par durood bhejtay hen ay iman walo tum bhi bhejo. Chunacheh Allah pak ne irshad farmaya: اِنَّ اللہَ وَمَلٰٓئِکَتَہٗ یُصَلُّوۡنَ عَلَی النَّبِیِّ ؕ یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا صَلُّوۡا عَلَیۡہِ وَ سَلِّمُوۡا تَسْلِیۡمًا ﴿۵۶﴾ Zindagi bhar mein aik martaba darood pak parhna farz hai. Aur kisi mehfil mein pehli martaba zikar honay par parhna wajib. Aur bar bar zikar honay par darood pak parhna mustahab hai. Darood ki Fazilat , Nabiyo ke Sultaan, Rahmate Aalmiyaan, Sarkaare Do Jahan Sallallahu Alayhi Wa sallam ka Farmaane barkat nishaan hai, “Jishne mujh par roze Jummah do sou (200) baar Darood Pak padha us ke do sou (200) saal ke gunah maaf honge. [Kanzul Ummal, Jild 1, Safaa:256, Hadis: 2238] Jumerat ko Durood Sharif Padhna padhna ; Tajdaare Harmain, Sarware Konain Hazrat Muhammad Sallallahu Alayhi Wasallam ka Farmane Rahmat Nishan Hai: " Jab Jum'erat ka Din Aata hai Allah T'ala Farishto ko Bhejta hai Jin ke Pas Chandi ke Kagaz aur Sone ke Qalam hote hai Woh Likhte Hai, Kaun Youme Jum'erat Aur Shabe Jumah Mujh Par Kashrat se Durud e Pak Padhta Hai.[Kanzul Ummal, J-1, S-250, #2174]

DUROOD BHEJNA ALLAH AZZAWAJAL KA AMAL AUR HUKUM HAY...
Quran-e-Kareem 0 Furqan-e-Hameed ke para number 22 ke 4th ruku ki ayat ek ayat hai..
{ INNAL-ALLAHA WAMALAIKATAHU YUSALUNA AL AN NABI YA-AYU HAL LAZINA AMANU SALU ALEYHI WASALIMU TASLEEMA }

TRANSLATION :-
BESHAK ALLAH TA'ALA AUR USKE FARISHTE NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM PAR DAROOD BHEJTE HAI AYE IMAAN WALO TUM BHI UN PAR KHOOB DAROOD O SALAM BHEJA KARO..!
DAROOD SHARIF KI FAZILAT :
[1] Darood gunaho ka kafara hai

[2] Darood se amal pak hota hai

[3] Darood padhne se darajat buland hote hai

[4] Darood padhne ke liye ek qirat ajar likha jata jo ke uhud pahad jitna hota hai

[5] Darood padhne wale ko pemane bhar bhar ke sawab milta hai

[6] Jo shakash darood ko hi apna wazeefa bana leta hai Allah pak us ke duniya aur aakhirat ke kaam apne zime le leta hai

[7] Darood padhne ka sawab ghulam azad karne se bhi afzal hai

[8] Darood padhne wala har kisam ke haulo se nijat pata hai

[9] Waliye do jahan nabi (Salallaho Alehi Wassalam) darood padhne wale ke imaan ki khud gawahi denge

[10] Darood padhne wale par Aqa do jahan ki shifa’at wajib hojati hai

[11] Darood padhne wale ke liye Allah Ta’ala ki raza aur rehmat likh di jaati hai

[12] Allah Ta’ala ke ghazab se aman likh diya jata hai
[13] Us ki peshani pe likh diya jata hai ke yeh nifaq se bari hai

[14] Likh diya jata hai ke yeh dozakh se bari hai

[15] Darood padhne wale ko roz-e-hashar Arsh-e-Ilahi Ke neeche jagah di jayegi

[16] Darood padhne wale ki nekiyoun ka pallada wazani hoga

[17] Darood padhne wale ke liye jab woh Hoz-e-Kausar par jayega tab khasosi inayat hogi

[18] Darood padhne wala qayamat ke din sakhat pyaas se aman mai hoga

[19] Woh pul siraat se tezi aur asani se guzar jayega

[20] Pul sirat par use noor ata hoga
2 سال پیش در تاریخ 1401/04/26 منتشر شده است.
1,671 بـار بازدید شده
... بیشتر