Pimple Treatment in Hindi - Beauty Tips in Hindi | Muhase ka Ilaj for Oily Skin

LifeNexTo - Health
LifeNexTo - Health
142.2 هزار بار بازدید - 8 سال پیش - (मुँहासे का उपचार) Pimple Treatment
(मुँहासे का उपचार) Pimple Treatment for Oily Skin in Hindi - Natural beauty tip for oily face Hindi mai. Keel muhase treatment ka ilaj aur home remedies acne ko thik karne ke liye.

Tho chaliye ab hum jayene kese kare, pimples ka treatment oily skin ke liye;

1) Doodh and Shehad
kai logo ka maanna hota hai ki dairy products, udaharan ke liye Doodh aur dahi, pimples hone ka reason hote hai aur kuch hadh tak ye baat sahi bhi hai, par aisa tab hota ha jab aapko ye dairy products digest na hote ho ya phir aap lactose intolerant ho.
Doodh aur dahi se aapki skin ki irritation aur pimple ki redness kaam hogi. Wahi shehad ke antibacterial guno ke karan skin mai mujhud bacteria khatam hoge.
Jab dono ka mishra ready hojaye, tho ishe apane chehre par cotton pad se aachi tarha laga le aur 10 se 15 min tak lage rahne de. Jab aap is pack ko doye tho halke hatho se circular motion se pack ko hataye, aisa karne se chehre ki dead skin niklegi, aur dheere dheere pimples ki redness kaam hogi aur naye pimple aana band hoge.

2) Papita
Papite ke labkari ke guno ke karan, yah aaj ke samay mai kai beauty products mai essential ingredients ki tarha use kiya jata hai. Aur jab baat ance ki ho tho Papite ko achuk nuskha maana jata hai, kyu ki iske use se aap chehre ke dead skin aur excess lipids ko hatane mai madat milti hai, jissse aap ka chehra soft aur smooth hoga. Lipids, aapke chehre ke fats hote hai, jisse oil form hota hai.

Iske liye aapko ek fresh papita lena hoga aur andar ke hisye ko aachi tarha mesh karna hoga taki ye aapke face ko aachi tarha cover kar le. ishe lagane se pehle chehre ko aachi tarha dho le aur uske baad hi lagage, ab is mask ko 15 se 20 min tak lage rehne de aur then halke garam pani se do le. Agar iske baad aap ka chehra jarurat se jada dry ho raha hai tho aap moisturizer laga sakte hai. Continue use karne se aapko chehre mai jaldi hi antar dikhne lagega.

3) Santre ka lep ya Orange Paste
Acne ya pimple hone ka main reason hote hai bacteria aur excessive oil, jo aapne chehre par mujhud pores ho band kar dete hai. Santre mai mujhud vitamin C aur citric acid, is problem ko khatam karne ke liye kargar hota hai. Vitamin C chehre par naye cells ko badne mai madat karta hai jisse aapki skin ki overall condition improve hoti hai.

Taiyar paste ko face par 20 se 25 min tak lage rahne de, ab jab tak ye mask aachi tarha se sukh jaye tho ishe dho le. Agar pack ke karan aap ka face jada dry ho raha hai tho aap moisturizer laga sakte hai. Ye ho sakta hai ki lep lagane se aap ko thodi jhalan mehsus ho, but agar jhalan jada ho rahi ho tho utran lep ko dho le.

4) Aloe Vera
Aloe vera pimple problem ka ek bahut hi achuk upaye hai, par ek baat ka dhyaan rahe ki ye natural aur raw hi ho, agar aapke aaspaas aloe vera ka plant nhi hai tho aap market mai milne wale products ka bhi use kar sakte hai but lene se pehle ek baar aachi tarah se dekh le ki kahi products mai additional chemical add tho nhi hai kyu ki ho sakte hai ki ye problem ko solve karne ke bajaye badade.

Aloe Vera mai anti-inflammatory aur antibacterial properties hoti hai, jisse na sirf redness aur swelling kaam hoti hai. balki ye bacteria ko badhne se bhi rokta hai.

5) Nimbu ka Raas
Nimbu ke ras se aap purane pimples ko thik karne ke saath saath naya pimples ko rokne mai kharghar hota hai. Nimbu, vitamin C se barpur hota hai jis karan ye sabhi skin types ke liye aacha maana jata hai aur citric acid ke karan skin ko exfoliate bhi karta hai. In sab ke alawa, Nimbu ko skin whitener ki tarha bhi use kiya ja sakta hai, jise pimples ki redness mai kaami aati hai.

iske liye aapko 1 tablespoon fresh lemon juice nikalna hoga aur apply karne ke liye aap chahe tho cotton ka use kar sakte hai.
Ab affected areas ya pimple par laga le aur thodi dher tak lage rahne de. Citric acid ke karan, ye aapko jalan kar sakte hai, iske liye aap dahi ka use kar sakte hai. Ek baat ka khas dhyaan rahe ki nimbu ke ras ko lagane ke baad dhoop mai na nikale, isse aap ki skin par adverse effect padhega.

6) Lahsun
Lahsun ya Garlic mai antibacterial gun hote hai, ishi wajah se ye acne ko treat karne ke liye upyukt maana jata hai. lahsun ke use se pimples ki teevrata mai kaami aayegi aur naye pimple ko aane pe rok bhi lagega.
--------------------------
HEALTH DISCLAIMER -
These remedies are based on the principles of Ayurveda, the ancient Indian science of healing, and are completely natural, non-invasive, and can be prepared at home. The information on this channel is designed for educational purposes only. It is not intended to be a substitute for informed medical advice or care.You should not use this information to diagnose or treat any health problems. Consult your doctor if the symptoms persist.
8 سال پیش در تاریخ 1395/08/05 منتشر شده است.
142,211 بـار بازدید شده
... بیشتر