AZADARI RAHEGI | Mesum Abbas 2022 | Karbala New Nohay | Muharram 2022 | Title Noha 2022 | Azadar

Mesum Abbas
Mesum Abbas
Azadari Rahegi!Hit LIKE NOW and SHARE Before the Noha Premieres!Most IMPORTANTLY: Iltimase Dua ...
Azadari Rahegi!

Hit LIKE NOW and SHARE Before the Noha Premieres!

Most IMPORTANTLY: Iltimase Dua

#MesumAbbas #Azadar #AzadariRahegi
Please Support Our Efforts & Subscribe to this Channel: http://bit.ly/MesumAbbasOfficial​

LYRICS: POSTED BELOW...

Noha Credits:
👉Title Noha: Azadari Rahegi
👉Reciter: Mesum Abbas
👉Poet: Mazher Abidi

Audio Credits:
👉Composition: Mazher Abidi / Mesum Abbas
👉Chorus: Rizwan Mirza - Hasnain Mehdi - Sunny - Shahrukh
👉Audio Recording by M. Hassaan Qureshi / M. Ovais Qureshi (ODS - KHI)
👉Audio Mix/Mastered by M. Omar Qureshi (ODS - KHI)

Video Credits:
👉Director: Safdar Kaleem
👉Special Thanks to the Zuljana Committee at Imambargah Hussaini (Korangi-KHI) Zuljanah: Masoom Shah and the Alam Committee of Jafar e Tayyar Karachi
👉Editor: Safdar Kaleem (The Focus Studio)
👉SEO Management / Coordinator / Cover Design: Yawer Abbas Damani (YAD Graphics)
👉 Social Media Management: Mussaib Sajjad (Bangalore-IND)
👉 English Translation: Ahmed Virani  (USA)
👉Sarparast: Syed Baqar Naqvi (President: Imambargah Dar e Hussain - New Jersey, USA)

LYRICS:

Hussain Hussain Hussain

labbaik labbaik
labbaik labbaik

imaa'n ki hararat hai, azadari e hussain
islaam ki hurmat hai
azadari e hussain

insaan ki zarurat hai
azadari e hussain
zainab ki amanat hai
azadari e hussain

qadam barhate raho-hussain hussain
alam uthate raho-hussain hussain

charagh e ashk e aza-hussain hussain
yuhi jalaye raho-yuhi jalaye raho

na andhiyo'n se daro
na zalimo'n se daro
na hadso'n se daro
na mushkilo'n se daro

alam saja ke kaho
farsh e ghum bicha ke kaho
ali ke laal se ahd e wafa nibha ke kaho

tere gharane se wafadari rahegi
maula sada teri azadari rahegi

1). hum to azal se hi azadar hain maula
majlison matam ke talabgar hain maula
ankh jo duniya mein khuli dekha ye manzar
ghar mein azakhana sajati hui madar
wirsa ye mila-hussain
ghum sath raha-hussain
ye ashk e aza-hussain
matam ki sada-hussain

hashr talak ab ye talabgaari rahegi
maula sada teri azadari rahegi

2). raaho'n mein julooso'n ke sabilain bhi lagayein
pani bhi azadaro ko sharbat bhi pilayein
har saal teri hazri duniya ko khilayein
bachcho ko teri yad mein saqqa bhi banayein
khidmat e aza-hussain
hai qarz bara-hussain
hai azm e wafa-hussain
ho sath tera-hussain

har saal muharram ki ye tayyari rahegi
maula sada teri azadari rahegi

hussain hussain ya maula
hussain hussain ya maula

3). ye ahle aza shan e aza aise barhayein
har waqt azadari hai bar waqt namzain
mumkin hi nahi sajde mein jab sar ko jhukayein
aye maula hamain sajde tere yad na ayein
matam bhi tera-hussain
sajda bhi tera-hussain
kaaba bhi tera-hussain
qibla bhi tera-hussain

sath namazo'n ke azadari rahegi
maula sada teri azadari rahegi

4). humne wilayat ka jab iqrar kiya tha
binte mohammad se kiya tha yahi wada
apne sabhi ghum to bhula denge magar hum
bhool nahi sakte kabhi majlis o matam
is dar ki sada-hussain
dharkan ne kaha-hussain
seeno'n mein raha-hussain
saanso mein basa-hussain

saanso mein har dam ye sada jaari rahegi.
maula sada teri azadari rahegi

hussain hussain ya maula
hussain hussain ya maula

5). humne jo bichhaya hai
ye farsh aza ka hai
sajjad ki khwahish hai
zainab ki tamanna hai

hussain....

ye ashk e aza kya hai
bakhshish ka wasila hai
rumal mein zehra ke
zeenat ye hi banta hai

ankho se ye nehre aza jaari rahegi
maula sada teri azadari rahegi

hussain hussain ya maula
hussain hussain ya maula

6) tehzeeb e azadari sikhate hain azadar
bachcho ko alamdari sikhate hain azadar
mimbar se wafadari sikhate hain azadar
behno'n ko hayadari sikhate hain azadar
naslo'n mein chale-hussain
ye dars tere-hussain
humne jo sune-hussain
humne jo diye-hussain

yuhi dilo'n par teri sarkari rahegi
maula sada teri azadari rahegi

7). maula ye taboot alam jhoola amari
pani ki sabilain bhi nishani hai tumhari
duldul ka julooso'n mein safar ab bhi hai jaari
kuch or nahi bas yahi daulat hai hamari
nisbat se teri-hussain
qismat ye mili-hussain
bhoole na kabhi-hussain
ye seena zani-hussain

humne alam paya alamdari rahegi
maula sada teri azadari rahegi

8) mesum o mazhar to yahi kehte rahege
maula tere ghum ke sabab jeete rahege
nauhe teri yad mein hum parhte rahege
ankh se ye ashk e aza behte rahege
bas ye hai dua-hussain
aye jo qaza-hussain
ho lab pe saja-hussain
ek naam tera-hussain

jaan se barh kar ye hamain pyari rahegi
maula sada teri azadari rahegi

jaan hussain jaan hussain jaan hussain jaan(×2)

tu sabka nigehbaan
hussain jaan hussain jaan
tu natiq e qur'aan
hussain jaan hussain jaan
tu deen ki pehchan
hussain jaan hussain jaan
zehra ka dil o jaan
hussain jaan hussain jaan

jaan hussain jaan hussain jaan

tu sabr ki deewar
hussain jaan hussain jaan
tu zabt ki talwar
hussain jaan hussain jaan
tu kufr pe yalghar
hussain jaan hussain jaan
tu bar sare paikaar
hussain jaan hussain jaan

jaan hussain jaan hussain jaan hussain jaan.
Muharram 2022/1444 | New Nohay 2022 | Azadari Rahegi 2022 video by Mesum Abbas reciting  (Official Video) © 2022 Mesum Abbas

همه توضیحات ...