Faasi Ke Takht Par Likha Gaya Kalaam - Koi Gul Baaki Rahega Na Chaman Reh Jayega

Sayyed Abdul Wasi Qadri Razavi
Sayyed Abdul Wasi Qadri Razavi
131.6 هزار بار بازدید - 4 سال پیش - 📖 FAASI KE TAKHT PAR
📖 FAASI KE TAKHT PAR LIKHA GAYA KALAAM SAYYED ABDUL WASI RAZAVI SAHAB QIBLA KI MUBARAK AWAAZ MAI


📜 Hazrat Kifayat Ali Kaafi Rehmatullah Alaihi Jinko 1857 Mai Faasi Par Chadaa Kar Shaheed Kiya Gaya Tha Aor Jab Hazrat Kifayat Ali Kaafi AlaihiRehma Ne Angrezo Ke Khilaaf Jung Ka Fatwaa Diya Tha To Angreezo Ne Aapko Qaed Kar Liya Aor Itni Aziyate Pahochayi Yaha Tak Ke Garm Garm Press Uss Press Ko Aapke Jism Par Ragdaa Gaya Aor Is Par Bhi Bass Nahi Kiya Balke Uspar Namak Aor Mirchiya Ragdi Gayi.

Ussi Raat Mai Kifayat Ali Kaafi Alaihirehma Ne  Sarkaar E Do Aalam Salallahu Alaihi Wa Sallam Ko Khwaab Mai Dekha Aapne Ziyarat Ki Thi Ma Shaa Allah Aor Sarkare Madina Salallahu  Alaihi Wa Sallam Ne Aapko Shahadat Ki Khushkhabri Bhi Sunaayi Thi Ma Shaa Allah. Agle Din Jab Aapko Faasi Ke Phande Par Le Jaaya Gaya To Angrezo Ne Aakhri Khwaaish Puchi Thi To Hazrate Sayyedna Kifayat Ali Kaafi AlaihiRehma Ne Jo Aakhri Khwaish Ka Izhaar Kiya Tha Ham Uss Khwaish Par Qurbaan Jaaey. Aapne Farmaaya Mujhe Ek Qalam Aor Ek Kagaaz Ki Zaroorat Hai To Qalam Aor Kagaaz Pesh Kiya Gaya Aor Jab Qalam Aor Kaagaz Pesh Kiya Gaya Allahu  Akbar To Uss Faasi Ke Phande Par Takhte Daar Par Aapne Ye Kalaam Likha._

" KOI GUL BAAKI RAHEGA NA CHAMAN REH JAYEGA "


#KoiGulBaakiRaheGa  #SayyedAbdulWasiRazavi
4 سال پیش در تاریخ 1399/02/14 منتشر شده است.
131,658 بـار بازدید شده
... بیشتر