Open Source Ya Closed Source क्या है? कौन better है और क्यों? Explained

AIM
AIM
579 بار بازدید - 5 ماه پیش - Kya aap jannate hain ki
Kya aap jannate hain ki open source aur closed source kya hota hai? Is video mein, hum aapko batayenge ki ye dono terms kya hain, kaise kaam karte hain, aur kyun har ek software developer inke beech ka farak samajhna chahta hai. Open source software jaise Linux, Android, aur Firefox kaise free mein use kiye ja sakte hain aur kaise duniya bhar ke developers isme contribute karte hain? Vahiin, closed source software jaise Microsoft Office aur Adobe Photoshop kyun paid hote hain aur inhe kaise sirf license ke zariye hi access kiya ja sakta hai?

Aaiye jaane open source aur closed source software ki duniya ka itihaas kab shuru hui thi aur kaise ye dono models software industry ko aaj bhi prabhavit karte hain. Hum discuss karenge ki kaise companies decide karti hain ki unhe kaun sa model apnana chahiye aur iska unki business strategy par kya asar padta hai. Is video mein, aapko yeh bhi pata chalega ki open source aur closed source software kahan host kiye jaate hain aur kaise in platforms ko monetize kiya jaata hai.

Dekhiye humari ye video 'Open Source vs Closed Source Software Explained in Hindi' aur samajhiye software ki duniya ke in do important models ko. Agar aap software development mein naye hain ya phir aap ek seasoned developer hain jo apne knowledge ko aur badhana chahta hai, to ye video aapke liye hai. Like kijiye, share kijiye, aur apne thoughts comment section mein zaroor share karein. Subscribe karna na bhoolen taaki aise aur informative videos aap tak pahunchte rahein.

#ai #opensource #closedsource #innovation #license #free #paid #software
5 ماه پیش در تاریخ 1403/02/22 منتشر شده است.
579 بـار بازدید شده
... بیشتر