Mirza Ghalib Shayari | Urdu Poetry | Season 2 Complete

Banana Poetry
Banana Poetry
107.9 هزار بار بازدید - 4 سال پیش - Mirza Ghalib Shayari | Urdu
Mirza Ghalib Shayari | Urdu Poetry | Season 2 Complete


Buy Mirza Ghalib Poetry Books
Ghalib: Selected Poems and Letters
https://amzn.to/3jHpuQH


Ghalib: A Thousand Desires

https://amzn.to/2ZVUHrw

Ghazal 1

aah ko chahiye ek umr asar hote tak
kaun jita hai teri zulf ke sar hote tak
aashiqi sabr-talab aur tamanna betab
dil ka kya rang karun khun-e-jigar hote tak
ta-qayamat shab-e-furqat mein guzar jaegi umr
sat din hum pe bhi bhaari hain sahar hote tak
hum ne mana ki taghaful na karoge lekin
khak ho jaenge hum tum ko khabar hote tak

Ghazal 2

daim paaa hua tere dar par nahin hun main
khak aisi zindagi pe ki patthar nahin hun main
kyun gardish-e-mudam se ghabra na jae dil
insan hun piyala o saghar nahin hun main
ya-rab zamana mujh ko miTata hai kis liye
lauh-e-jahan pe harf-e-mukarrar nahin hun main
had chahiye saza mein uqubat ke waste
aakhir gunahgar hun kafar nahin hun main
kis waste aziz nahin jaante mujhe
lal o zamurrad o zar o gauhar nahin hun main

Ghazal 3

dost gham-khwari mein meri sai farmawenge kya
zakhm ke bharte talak naKHun na badh jawenge kya
be-niyazi had se guzri banda-parwar kab talak
hum kahenge haal-e-dil aur aap farmawenge kya
hazrat-e-naseh gar aawen dida o dil farsh-e-rah
koi mujh ko ye to samjha do ki samajhawenge kya

Ghazal 4

hairan hun dil ko roun ki pitun jigar ko main
maqdur ho to sath rakhun nauhagar ko main
chhoda na rashk ne ki tere ghar ka nam lun
har ek se puchhta hun ki jaun kidhar ko main
jaana pada raqib ke dar par hazar bar
ai kash jaanta na tere rah-guzar ko main

Ghazal 5

ishrat-e-qatra hai dariya mein fana ho jaana
dard ka had se guzarna hai dawa ho jaana
tujh se qismat mein meri surat-e-qufl-e-abjad
tha likha baat ke bante hi juda ho jaana

Ghazal 6

phir kuchh ek dil ko be-qarari hai
sina juya-e-zakhm-e-kari hai
phir jigar khodne laga nakhun
aamad-e-fasl-e-lala-kari ha

Ghazal 7

koi din gar zindagani aur hai
apne ji mein hum ne Thani aur hai
aatish-e-dozakh mein ye garmi kahan
soz-e-gham-ha-e-nihani aur hai
bar-ha dekhi hain un ki ranjishen
par kuchh ab ke sargirani aur hai
de ke khat munh dekhta hai nama-bar
kuchh to paigham-e-zabani aur hai

Ghazal 8

wo firaq aur wo visal kahan
wo shab-o-roz o mah-o-sal kahan
fursat-e-karobar-e-shauq kise
zauq-e-nazzara-e-jamal kahan
dil to dil wo dimagh bhi na raha
shor-e-sauda-e-khatt-o-khal kahan
thi wo ek shaKHs ke tasawwur se
ab wo ranai-e-khayal kahan


Get Social With Us :-)
Facebook: bananapoetry
Twitter: BananaPoetry
Instagram: banana_poetry
Pinterest: bananapoetry
4 سال پیش در تاریخ 1399/05/04 منتشر شده است.
107,916 بـار بازدید شده
... بیشتر