ASLI MIYA BHAI SONG | Official Music Video | AL Aamir | Rap Song

AL Aamir Khan
AL Aamir Khan
51 هزار بار بازدید - 6 سال پیش - ( LYRICS GIVEN BELOW )ASLI
( LYRICS GIVEN BELOW )

ASLI MIYA BHAI SONG (Official Music Video) | AL Aamir | Rap Song


Artist/Lyrics: AL Aamir
Music: AL Aamir
Producer: AL Aamir
Video Editted: AL Aamir
Production: AL Aamir Khan Production

#AsliMiyaBhai #OfficialMusicVideo #alaamir #RapSong #HipHop #HindiSong #MusicVideo #OfficialVideo


DO LIKE SHARE AND SUBSCRIBE FOR MORE UPDATES

social media
Facebook, Instagram & Twitter - (AL Aamir Khan)

Lyrics;
jo apni khandani dolat dhuein mein nahi udata
Gareeb aur miskeeno me jakar hai batta
Yad rakho Miya Bhai kabhi khud nahi naachte
ye Jang ke maidan mein dushmano Ko nachate
bina kisi par zulm dhaye
Islam ka parcham puri duniya mein lehraye
na Talwar ki dhaar se na goliyon ki bochar se
miya Bhai darta se sirf apne parwar digar se
Kisi ne sahi kaha hai
mukable mein dushman ho chahe jitne bhi hazar
miya Bhai ke samne shikar khud hojata hai shikar
Kabhi nahi chalte tankar apna ye Seena
jab gusse me ho Suraj Ko bhi ajata hai paseena
badi se badi hastiyan mitgayin inko jhukane mein
Lekin fir bhi Abad hain miya Bhai har ek zamane mein

jiska mazhab hai sirf Deen e Islam -(2)
Akhbaro se lekar hai eik zuban par rehta uska naam
Miya Bhai

aao milkar bataye hum sabko
aao milkar bataye hum sabko

asli Miya Bhai se milaye hindustan Ko
hindustan ko hanji hindustan ko -(3)


khasiyat yahi hai har kisi ko khuda nahi mante
jo sare jaha ka hai malik bas usko hi mante
Chote se bade sabko karte hain salam
seeno me rakhte hain apne rab ka kalam
bachte rehte hain har ek gunah se
Darte hain us rab ki sakht saza se
musibat ke wakt sabr hai karna
Khushiyon me rab ka shukr ada karna
kaam hai jiska raaton me ibadat
din mei rozi talash karna
duniya me aye hain rab ko manane
nahi sirf dolat aur pesa kamane
maksad hai zindagi islam pe chalna
duniya me har ek fitne se bachna
wada hai khuda ka hogi i tumpe rehmat
karte raho apne maa baap ki khidmat
Miya Bhai

aao milkar bataye hum sabko
aao milkar bataye hum sabko

asli Miya Bhai se milaye hindustan Ko
hindustan ko hanji hindustan ko -(3)


Jab jab me ye sochta hu
mujhe bohot hasi ati hai
ke jolog din me panch wakt
sazde me jakar apne zamine watan ko chumte hain
kuchlog sirf unhi se desh bhakti ka
saboot mangte hai

suno miya bhai sirf naare nahi lagate
ye karte hai pehle fir hein dikhlate
jisne shuru ki tehrik e reshmi rumal
unke hosle the bade hi bemisaal
jinhone kabhi nahi ki angrezo ki gulami
unhone di sirf apne deshko salami
koi kasar nahi chori desh ko azad karane mein
diya tha muh tod jawab angrezo ko bhi us zamane mein

jange azadi mein lakhon ulma shaheed hogaye -(2)

na jane kyu firbhi ye sab history se gayab hogaye

jab jab desh par ungli uthi to hojate hain bechain -(2)

desh ki hifazat ki baat aye tou banjate hain missile man

muhabbat ke liye taj mahal tirange ke liye lal kila banadiya -(2)

apne raaj mein desh ko sone ki chidiya tha bana diya

bas do char naare nahi lete hain zubani -(2)

lekin firbhi dil hai hindustani
hanji firbhi dil hai hindustani

aao milkar bataye hum sabko
aao milkar bataye hum sabko

asli Miya Bhai se milaye hindustan Ko
hindustan ko hanji hindustan ko -(3)
(End)

Music video by AL Aamir performing Asli Miya Bhai Song.
6 سال پیش در تاریخ 1398/01/26 منتشر شده است.
51,069 بـار بازدید شده
... بیشتر