पैसो से RELATED 150 किताबे पड़के मैंने क्या सीखा ? | WHAT I LEARNED READING 150 BOOKS ON MONEY | GIGL

Hemant Pant
Hemant Pant
617.4 هزار بار بازدید - 4 سال پیش - Paise ke uper 150 se
Paise ke uper 150 se zaada books padh kar meine kya seekha.? Hello dosto is video me mein apne experience ka kuch portion aapse share karunga ki meine finance, investing, money aur businesses ke baare me 150 se zaada books padh ke kya seekha..



To dostos is video me hamne dekha ki  ameer logo thoda different mindet hota hai jaise ki
One vo jaante hai ki paiso se paise kaise kamaate hai.. Vo shuru karte hai kuch saving kar ke aur phir us se kuch aisi cheeze create karte hai jis se unhe passive income aane lag jaaye aur baad me is naye asset ke paiso ko use kar ke aur assets create karne lagte hai and so on.
Next hamne dekha tha power of compounding.. yaani ye log jaante hai ki time bhaut bada factor hai compounding ke liye.. Isiliye ye log koshish karte hai ki ye jaldi se jaldi invest kare. Aur hame bhi koshish karni chahiye ki ham is principle ka fayda utha sake.

Next hamne dekha tha ki profession 4 tareeke ke hi hai. Ya to ham employee hai, self employed hai , businessman hai ya phir investor hai. AB zaada free time aur money Business aur investing me hai to hame in skills ko improve karna hi chahiye. Hamne ye bhi dekha tha ki business me do philosophy hai one is Modelling yaani already successful logo ki tarah kaam karo jaise ki china karta hai dusra tha ki ham bilkul naya product bna sakte hai jaise ki google, oyo etc. Vaise hi investment me bhi ya to ham company ke individual shares khareed sakte hai ya phir ham kisi index funds me invest kar sakte hai..GIGL business channel par aap investing ka free course kar sakte hai jo hamne banaya hai.

Next hamne dekha tha ki ameer log Taxes ke un rules ko zaada ache se samajhte hai jin me unko tax break mil sake…Aur isiliye jaha ham log apni income ka 20 se 30% tazes me dete hai vo apni income ka 0 se 5% ,10% tax dete hai.

Finally hamne dekha tha ki ameer log apne upper Invest kart hai apni knowledge par invest karte hai.. Agar aap bhi HINDI me book summaries sunna chahte hai to aap GIGL app download kar sakte hai . Ye ek complete made in INDIA app hai jaha par bhaut si books ki summaries hai money, business self-improvement aur investing ke upper.. Isme 100 se bhi zaada summaries free hai aur har hafte ham ek free summary add karte rehte hai. To agar aap apne upper abhi money invest nhi karna chahte to kam se kam free summaries sun ke time to invest karna hi padega.

Anyways agar aap aur jan na chahte hai in topics ke upper to aap is channel ko subscribe karne ke baad bell ka button dabana at bhuliyega. Aap hame ye bhi bata sakte hai ki next video ham kis topic par daale. Jald hi aapse dobara mulakaat hogi.. JAI HIND





GET FREE HINDI BOOK SUMMARIES:-

https://play.google.com/store/apps/de...
4 سال پیش در تاریخ 1399/04/23 منتشر شده است.
617,461 بـار بازدید شده
... بیشتر