Jab Ishq Sikhata Hai Adab e Khud Agahi|Bal e Jibril 054 |Allama iqbal|urdu poetry|iqbaliat|

kalam-e-iqbal
kalam-e-iqbal
12.5 هزار بار بازدید - 2 سال پیش - Jab Ishq Sikhata Hai Adab-e-Khud
Jab Ishq Sikhata Hai Adab-e-Khud Agaahi
Khule Hain Ghulamon Par Asrar-e-Shehanshahi
Attar Ho, Rumi Ho, Razi Ho, Ghazali Ho
Kuch Hath Nahin Ata Be Aah-e-Sahargahi
Naumeed Na Ho In Se Ae Rahbar-e-Farzana
Kamkosh To Hain Lekin Be-Zauq Nahin Raahi
Ae Tair-e-Lahooti! Uss Rizq Se Mout Achi
Jis Rizq Se Ati Ho Parwaz Mein Kotahi
Dara-o-Sikandar Se Woh Mard-e-Faqeer Aula
Ho Jis Ki Faqeeri Mein Boo-e-Asadullahi
Aaeen-e-Jawanmardan, Haq Goyi-o-Bebaki
Allah Ke Sheron Ko Ati Nahin Roobahi

Reciter: M.Owais.Khan

Lyrics Source:iqbalurdu.blogspot.com

Music:
Song: Timur Haisyn - Chain Reaction
Music provided by Tunetank.
Free Download: https://tunetank.com/track/6200-chain...

Hashtags
#allamaiqbal
#allamaiqbalpoetry
#urduadab
#iqbaliyat
#urdushayari
#urdupoetry
#urdustatus








...
2 سال پیش در تاریخ 1401/10/16 منتشر شده است.
12,563 بـار بازدید شده
... بیشتر