Ahmed Faraz - Suna Hai Log Usay Ankh Bhar Ke Dekhte Hain By A.Raziq Piracha

RankGPT
RankGPT
2.7 میلیون بار بازدید - 6 روز پیش - Suna Hai Log Usse Aankh
Suna Hai Log Usse Aankh Bhar Ke Dekhte Hain So Uss Ke Sheher Mein Kuch Din Theher Ke Dekhte Hain Suna Hai Boley Tou Baaton Se Phool Jhartey Hain Yeh Baat Hai To Chalo Baat Kar Ke Dekhte Hain Suna Hai Raat Ko Usse Titliyaan Sataati Hai Suna Hai Raat Ko Jugnoo Theher Ke Dekhte Hain Suna Hai Uss Ke Badan Ki Taraash Aisi Hai Ke Phool Apni Qabaaein Katar Ke Dekhte Hain Rukey To Gardishein Uss Ka Tawaaf Karti Hain Chaley To Uss Ko Zamaaney Theher Ke Dekhte Hain Kisse Naseeb Ke Be-Pairahan Usse Dekhey Kabhi Kabhi Dar-O-Deewaar Ghar Ke Dekhte Hain Kahaaniyaan Hi Sahi, Sab Mubaalghey Hi Sahi Agar Woh Khawaab Hai, Taabeer Kar Ke Dekhte Hain Judaaiyaan To Muqadder Hai Phir Bhi Jaan-E-Safar Kuch Aur Door Zara Saath Chal Ke Dekhte Hain Too Saamney Hai To Phir Kiyon Yaqeen Nahin Aata Yeh Baar Baar Jo Aankhon Ko Mal Ke Dekhte Hain Yeh Kaun Loug Hain Maujood Teri Mehfil Mein Jo Laalachon Se Tujhey, Mujh Ko Jal Ke Dekhte Hain Na Tujh Ko Maat Hui Hai Na Mujh Ko Maat Hui So Ab Ke Donon Hi Chaalein Badal Ke Dekhte Hain Buhut Dinon Se Nahin Hai Kuch Uss Ki Khair Khabar Chalo Faraaz~ Ko, Aey Yaar Chal Ke Dekhte Hain. Ho Gayi Rukhsat; Hogayi rukhsat ghata baarish ke baad Ek diya jalta raha baarish ke baad Mere behte hue Aansuo ko dekh kar Ro parri thandi hawa baarish ke baad Meri tanhaayi ka daaman thaam kar Kuch udaasi ne kaha baarish ke baad Yaad teri odh kar mein so gayi Khawaab ka daar khul gaya baarish ke baad Chand dekh kar baadlo ki qaid mein Ek sitaara ro diya baarish ke baad Apne ghar ki har kachi deewaar par Naam tera likh diya "K" baarish ke baad
6 روز پیش در تاریخ 1403/07/09 منتشر شده است.
2,753,038 بـار بازدید شده
... بیشتر