Wo Shaher e Muhabbat Jahan Mustafa Hai | Exclusive Recited By Sayyed Abdul Wasi Qadri Razavi

Sayyed Abdul Wasi Qadri Razavi
Sayyed Abdul Wasi Qadri Razavi
98.7 هزار بار بازدید - 5 ماه پیش - Wo Shaher e Muhabbat Jahan
Wo Shaher e Muhabbat Jahan Mustafa Hai | Exclusive Recited By Sayyed Abdul Wasi Qadri Razavi

Kalam: Wo Shaher e Muhabbat Jahan Mustafa Hai
Reciter: ‪@SayyedAbdulWasiQadri‬
Lyrics:
Wo Sher e MUhabbat, Jahan Mustafa Hai
Wahi Ghar Banane Ko Jee Chahta Hai
Wo Sone Se Kankar Wo Chandi Si Matti
Nazar Mein Basane Ko Jee Chahta Hai

Jo Poocha Nabi Ne, Ke Kuch Ghar Bhi Chora
To Siddiq e Akbar Ke Honto Pe Aaya
Waha Maal o Daulat Ki Kya Haqeeqat
Jahan Jaa Lutaane Ko Jee Chahta Hai

Jihaad e Mohabbat Ki Awaaz Gunji
Kaha Hanzala Ne Ye Dulhan Se Apni
Ijazat Agar Do To Jaam e Shahadat
Labo Se Lagane Ko Jee Chahta Hai

Sitaro Se Ye Chand Kehta Hai Aksar
Tumhein Kya Bataun Wo Tukdo Ka Aalam
Ishare Me Aaqa Ke Itna Maza Tha
Ke Phir Tooot Jaane Ko Jee Chahta Hai

Wo Nannha Sa Asgar, Jo Eedi Ragar Kar
Yahi Kehraha Tha, Wo Kheeme Mein Rokar
Aye Baba Main Paani Ka Pyaasa Nahi Hoon
Mera Rann Mein Jaane Ko Jee Chahta Hai

Jo Dekha Roo e Jamal e Risalat
To Tahir, Umar Mustafa Se Boole
Badi Aapse Dushmani Thi Magar Ab
Ghulaami Mein Aane Ko Jee Chahta Hai
5 ماه پیش در تاریخ 1402/11/16 منتشر شده است.
98,748 بـار بازدید شده
... بیشتر